-
Aaj mere shab-e-furqat kii sahar aa_ii hai aaj me
Aaj mere shab-e-furqat kii sahar aayee hai
muddaton baad teri raahaguzar aayee hai.
Dekh to liijiye mere Khuun-e-tamannaa ki bahaar
jis ki surkhiyan meri aankhon main utar aayee hai.
Tune to tark-e-muhabbat ki qasam khaa_li thi
kyon teri aankh mujhe dekh ke bhar aayee hai
Unke pairaahan-e-rangeen ki mahak hai
is main aaj kyaa baad-e-sabaa hoke udhar aayee hai.
Is main kuchh unki jafaayen bhi to shaamil hain 'Shamim' bevafayee ki jo tohamat mere sar aayee hai.
Last edited by R. M. Dixit; 08-09-2011 at 09:14 AM.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules