Originally Posted by
Mr. Bean
is par kiya kaha ja sakta hai ... har individual k liye sharam ki baat hai ... mere liye bhi ... hamain har cheez pata hai sahi ghalat acha bura ...
samajh main to ata hai par amal main kiyon nahi ata is ki bari waja yehi hai k talab hi nahi dilon main ... Zahiri Iqrar karlainay say kuch hasil honay wala nahi ... Bachay ko bhi maan Doodh tab hi pilati hai jab woh roona shoro karta hai apni talab dikhata hai ... jitna zor say rota hai utni hi jaldi jaldi maan us k liye doodh ka bandobast karti hai ...
main Allah ko apni talab agar is bachay ki talab say thori si bhi kam zahir karon aur mangon to INSHALLAH woh zaat mujhay mayoos nahi karay gi ... aray Mayoos to ALHAMDULILLAH ab tak kiya bhi nahi jab k itnay gunahon ka bojh liye is dharti par ghoomay jarahay hain ..
jab hum say har aik Allah ko apnay liye Hidayat ki talab dikhaye ga us k liye thori si bhi koshish karna shoro kar daiga to ... tab yeh saray fitnay khud ba khud hi khatam hotay chalay jayengai ... karna hum sab nai wahi hai jo Allah Pak nai Ambiyaa (A.S) say karwaya yani k deen ki mehnat ka kaam .... Naiki ka hukum kartay rehna aur buraiyon say bachtay howay dosron ko bachnay ki talqeen kartay rehna yeh kaam kartay rahain gai tabdeeli hamain nazar anay lagay gi ...