"Mein aap se yeh nahin poochon ga k aap ne deen k liye kia chora, Mein sirf yeh poochon ga k aap ne kun chora?? Or yeh sawal is liye keron ga k KHUDA k liye kiye jane wale amal per fakhar k bajaye aap ko pachtawa hai or yeh pachtawa shar se barh ker hota hai. Yeh insan ka her acha amal bhi tabah ker deta hai... Khuda k liye kiye jane wale amal per shuker or phir fakhar kerna chahye k Us ne aap ko aazmaya or aap ne sabit qadmi or istaqamat dikhai.. Lekin agar aap ko pachtana tha to phir aap yeh qurbani na detin,,, Aap bhi saye ka intakhab ker letin... Raste to dono the aap k pass or kisi ne aap ko yaqeenan majboor nahin kiya hoga... Kam az kam Allah ne nahin,,, Us ne to ikhtiyar diya aa ko k intakhab ka haq istma'al kerein... Phir aap ne apne ikhtiyar ka istama'al kiya... Ab yeh pachtawa kun???"
Imaan, Umeed or Mohabat