Is Bar App ko Apne Fav Writer ka Iqtibas Share karna hai yaad rahey writer ka naam sath zaror ho werna ap ki sharing comp se bahir hojayegi.
Rules :
1 ... Aik member aik he bar Share Karsakta hai.
2 ... Aik jaisa mat share kijeye ga.
3 ... Comp ki last Date 21 Oct hai.
4 ... Please be advised that there will be no poll for deciding the competition winner. From now on Admin Jury will decide who the winner for each competition is.
"Apni Ana aur Nafs ko aik insan k samny pamal krnay ka naam Ishq e MIjazi hay aur apni ana aur nafs ko sab k samny pamal krny ka naam Ishq e Haqeeqi hay asal main dono aik hain....ishq e haqiqi aik darakht hay aur ishq e majazi uski shaakh hay.....""jab insan ka iishq lahasil rehta hay tu woh darya ko chor kar smandar ka pyasa ban jata hay.....choty rasty say hatt kar bday madar ka musafir ban jata hay uski talab bdal jati hay"(Ashfaq Ahmad)
Walikumsalam
Mard daryaft ka parinda he Jis aurat ko wo daryafat krta he,us me uski dilchaspi kam hoti jati hai Aurat ko chahy k apne mard k lie hamesha ak raaz bana kar rakhe ta k usy khojne ke shoq me hamesha uske qareb rahe Agr wo waqt se pehle he apni har adat us par aya'n kardegi to us me naya kya reh jae ga
Ashfaq Ahmad
Last edited by Zindagi; 05-10-2011 at 12:53 AM.
Inasan Allah ki mukhluqat mai se wo wahid makhluq hai jese aqal jaisi nemat se nawaza gaya hai. Jo isi aqal ko istamal ker k sochne par aye to khud Allah k wajod k liye sabot ki talash shoro kar deti hai. Phir is silsile ko yahi mehdod nahi rakhti bulke use Pegambron ki zaat tuk draz kar deti hai. Is k bad Quran k waziya ahqamat k bawajod zameen par mazid pegambron ki talash shoro kar deti hai or is talash mai yeh baat faramosh nahi kar daini chahye k insan Pegambar banta nahi bnaya jata hai. Hum insani evolution ki in akhiri dahayion mai khare hain jahan mazid Nabion ki amad ka silsila khatam kar diya gaya hai. Ab kisi naye aqeede ki zarorat nahi sirf taqleed ki yani practice ki zarorat hai. Us aik akhiri Nabi(PBUH) ki Kitab(Quran) par. Ab har wo shakhs khasare mai hai jo deen ki rasi ko mazboti se thamne ki bjay tafarqe mai pare.
Umera Ahmad ki 'Peer-e-Kamil' sa iqtibas
Zindagi tu apnay he qadmun pe chalti hay Faraz
Auron k Sahary tu Janazy utha kartay hain
"Duniya May App Ki Entry Jesay Marzi Ho
Exit Hamesha Shandar Honi Chaheya"
Or Jo Cheezain Allah Nahi Deta Usay
Insano Say Nahi Mangna Chaheya.
"Umera Ahmed=Mano Salwa"
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
zindagi main kabhi na kabhi hum is muqaam par Aa jaatay hain jahan saaray rishtay khatam ho jaatay hain ,
wahaan sirf hum hotay hain ,
aur ,
ALLAH hota hay ,
... koi maa baap ,
koi bhai behen ,
koi dost nahi hota . . .
phir hamain pta chalta hay ky na hamaaray paaon ky neechay zameen hay ,
aur ,
na sar ky opar Aasmaan . . .
bas sirf aik ALLAH hy jo hamain iss khlaa main thaamay huey hai . . .
phir hamain pta chalta hai kay hum zameen par parri matti ky dhair main mojood ik zarray ,
ya
darakht par lage ik pattay sey zyada ki wuq'qat nahi rakhtay . . .
aur phir pata chalta hay kay hamaaray honay ya na honay say ,
sirf , HAMAIN farq parta hay . . . .
My Favt Lines 4rm Peer_e_Kamil
Alhamdullilah
​