Zamana Aaya Hai Be-Hijabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga;
Sakoot Tha PardaDaar Jiska Wo Raaz Ab Aashkaar Hoga.
Guzar Gaya Ab Wo Daur Saaqi, Ke Chupke Peetey The PeeneWaale;
Banega Saara Jahaan Mai'Khaana; Har Koi Badah Khwaar Hoga.
Kabhi Jo Aawarah Junoon The, Wo Bastiyon Mein Phir Aa Basenge;
BarahnaPaayi Wahi Rahegi, Magar Naya KhaarZaad Hoga.
Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaaz Ki Khamoshi Ne Aakhir;
Jo Ahad Sehra'iyon Se Baandha Gaya Tha Phir Ustawaar Hoga.
Nikal Ke Sehra Se Jisne Rooma Ki Saltanat Ko Ulat Diya Tha;
Suna Hai Ye Qudsiyon Se Maine Wo Sher Phir Hoshiyar Hoga.
Kiya Mera Tazkira Jo Saaqi Ne Badahkwaaron Ke Anjuman Mein;
Tho Peer-e-Majlis ye Sunke Kehne Lage K Mounphat Hai Khuwar Hoga
Diyaar-e-Maghrib K Rehne Walon, Khuda Ki Basti Dukan Nahi Hai;
Khara Jise Tum Samajh Rahe Ho Wo Ab Zar-e-Kam 'Ayaar Hoga.
Tumhaari Tehzeeb Apne Khanjar Se Aap Hi Khudkashi Karegi;
Jo Shaakh-e-Naazuk Pe Aashiyana Banega Na-Payedaar Hoga.
Chaman Mein Lala Dikhaata Phirta Hai Daag Apna, Kali Kali Ko;
Ye Jaanta Hai Ke Is Dikhaawe Se Diljalon Mein Shumaar Hoga.
Jo Ek Tha Aye Nigaah Toone Hazaar Karke Hamein Dikhaaya;
Yahi Agar Kaifiyath Hai Teri Tho Phir Kise Aitebaar Hoga?
Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaro Bano Mein Phirtey Hain Marey Marey
Main Uska Banda Banonga Jisko,Khuda Ke Bandon Se Pyar Hoga
Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai, Aye Dil! Gunah Hai Chumbish-e-Nazar Bhi;
Rahegi Kya Aabaru Hamaari Jo Tu Yahaan Beqaraar Hoga?
Main Zulmat-e-Shab Mein Leke Niklunga Apne DarManda Karwaan Ko;
Sharar Fashaan Hogi Aah Meri, Nafs Mera Sholabaar Hoga!
Na Pooch "Iqbal" Ka Thikaana, Abhi Wahi Kaifiyat Hai Uski;
Kahin Sar-e-Raah Guzaar Baitha, Sitam Kash-e-Intezaar Hoga.