zara si dair lagti hai
bharosa toot jane Mein
zara si dair lagti hai
dilon ke rooth jane mein
zeher ka zehrila
neela pan phoolon per
urhane mein...
safar aziyat ka krne mein
jabbar tabiyat per karne mein
zara si dair lagti hai
mohabbat se mukarne mein
zara si dair lagti hai...
kabhi aisa bhi hojae..
mohabbat waqt de khud ko
bharosa baksh de khud ko
koi lambi musafat ho
aur phir se jor le khud ko
magar aisa nahiin hota
koi aisa nahiin karta
zara si dair lagti hai
bharose toot jate hain
ke rishtey ch00t jate hain
zara si dair lagti hai
musafir lout jate hain
zara si dair lagti hai...