Page 14 of 247 FirstFirst ... 412131415162464114 ... LastLast
Results 131 to 140 of 2469

Thread: ~!~ BaitBazi ~!~

  1. #131
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Zindagi mein ek haseen galti kar baithe,
    Hum nadani mein pyar kar baithe,
    Dil ko apne khud thokar maar baithe,
    Ek bewafaa se murhum ki umeed kar baithe.

  2. #132
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Ab To Kisi Bhi Baat Pe Aitbaar Nahi Hota
    Hote Hain Baas Samjhote Dilon Ke Koi Pyar Nahi Hota

    Kitna Bhi Samjha Lein Hum Iss Dil-e-Nadaan Ko
    Ek Qatra Kabhi Koi Saagar Nahi Hota

    Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Yeh Umar Guzar Jaati Hai
    Ke Taqdeer Pe Kisi Ki Apni Ikhtiyaar Nahi Hota

    Lagte Hain Jo Pal Suhane Woh Hain Baas Mere Khaabon Mein
    Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka Deedar Nahi Hota

    Dhal Jaate Hain Yeh Ashk Ek Aur Gham Ki Raah Liye
    Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka Intezaar Nahi Hota

  3. #133
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Us ko chaha to bohot magar woh mila hi nahi
    lakh koshish ki magar woh dil se mita hi nahi

    us ko zamane ne majboor is kadar kar diya
    ke woh meri kisi sada par ruka hi nahi

    khuda se johli pehla- pehla kar manga tha use
    magar khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi

    har ek se poocha sabab uske na milne ka
    har ek ne bataya ke woh tere liye bana hi nahi

    mein tamam umr ki koshishon ke bavjood bhi nakam ho gayi
    aur woh mil gaya usko jise usne kabhi Manga hi nahi


  4. #134
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Ek pyaar se bhara dil tha
    jiske armaano ko palko par sajaya karti thi
    ek masoom si ladki thi
    mohabbat ke khwaab dekha karti thi

    Ek chehra banakar khayalon mein
    phir us chehre ko bheed mein dhoonda karti thi
    kaisi paagal ladki thi
    ek khayal ko dhunda karti thi

    Aksar banati thi ret ke mehal saahilon par
    phir un mehalon mein ghar apna basaya karti thi
    kaisi naadan ladki thi
    saahil ki mitti se ghar banaya karti thi

    Kahi baar dekha use phoolon se baatein karte
    kuch keh kar unke kaano mein
    khud hi sharmaaya karti thi
    kaisi ek ladki thi
    phoolon se bhi sharmaaya karti thi

    Likh kar hatheli par koi naam hamesha
    phir us naam ko mitaya karti thi
    shayad naasamajh hi thi
    dil par likha tha jo
    use haathon se mitaya karti thi

    Jaane kahan kho gayi woh
    ab to aksar aaine mein dhunda karti hoon
    woh ladki jo aaina dekhte hi
    bewajaah muskuraya karti thi
    banakar ajeeb se chehre
    sabko hansaya karti thi
    bari ajeeb ladki thi
    har kisi ko sataya karti thi

    Mohabbat ne hi tor diye
    uske sab armaan
    jinhe woh bare pyaar se
    palkon pe sajaya karti thi
    shayad duniya bhi bhool jaye usse
    par waqt na bhula payeega
    ke ek masoom si ladki thi
    khwaabon ke seher mein raha karti thi…!!!

  5. #135
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Phoolon main khushbu tum se hai
    Is dil ki arzoo tum se hai
    Dil ki dharkan tumhare liye hai
    Aankhoun main justuju tum se hai
    Tumhein nahi kisi khazaa'n ka darr
    Har bahar surkhuru tum se hai
    Meri zindagi hai tujh se wabista
    Har khushi har aansoo tum se hai
    Jo houn tujh bin to adhoori houn
    Har tamanna har aabroo tum se hai
    Tujh bin hai shairy na-mukammal
    Shairy ka har pehlu tum se hai...


  6. #136
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Hum Unhe Kabhi Bhool Nahi Sakte,
    Bhool Se Hum Mohabbat Kar Bethe,
    Dekho Dosto Aaj Humara Haal Kya Hai,
    Is Liye Log Bachte Hain Is Mohabbat Se.

  7. #137
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Hum Ek Bewafa Se Wafa Karte Rahe Zindagi Bhar,
    Hey Khuda Aaj Humein Bewafa Banade Is Zindagi Se,
    Jaise Woh Humein Chor Kar Chale Gaye,
    Waise Hi Hum Is Zindagi Ko Chordeinge.

  8. #138
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Apne haathon se yun chehre chupate kyun ho
    mujh se sharmate ho toh samne aate kyun ho
    Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa
    pyaar karte ho toh phir pyaar chupate kyun ho

  9. #139
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Dekhna Bhi Tu Unhain Door Se Dekha Kerna, Skewa-e-ishaq Nahin Hussan Ko Ruswa Kerna, Sham Ho Ya Ke Seher'yaad Unhi Ko Rekhna, Din Ho Ya Raat'humain Zheker Unhi Ka Kerna, Kuch Samajh Main Nahin Aata Ke Ye Kiya Hai Hasrat, Un Se Milker Bhu Na Ezhar-e-tamanna Kerna.

  10. #140
    Join Date
    Jun 2008
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ~!~ BaitBazi ~!~

    Ishq mujhse hai unhe ya nahi
    aise sawalaat ne dil tor diya…
    muddaton baad to kiya hal-e-dil bayan
    par unke khyalaat ne dil tor diya...

    Woh mere hain,mere ban jayenge
    kuch aise hi jazbaat ne dil tor diya…
    hum to sochte the ke barso kareinge intzaar unka
    par judaai ke chand lamhon ne dil tor diya…

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •