Yeh dil na jaane kya kar baitha,
Puche bina hi mujhse faisla kar baitha,
Is zameen par toota sitara girta nahi,
Aur yeh pagal chaand se pyaar kar baitha.
Mehek teri aaj bhi meri saanson mein hai,
Har ek ada meri aankhon mein hai,
Tu bhale mita de apne dil se mera vajood,
Magar teri jagah aaj bhi meri yaadon mein hai.
Yeh dil na jaane kya kar baitha,
Puche bina hi mujhse faisla kar baitha,
Is zameen par toota sitara girta nahi,
Aur yeh pagal chaand se pyaar kar baitha.
Kabhi kabhi rulati hai mujhe yeh yaadein teri,
Door hone ka tere ehsaas hota hai mujhe inse,
Sapna to dekhti hai meri aankhen tujhe apna banane ki,
Par phir bhi darti hai yeh sapna toot jaane ke daar se
Na hai koi armaan na hai koi sapna ab,
Na hai is duniya mein koi apna ab,
Zindagi ki khushiyon kho gai hain kahin,
Na hai mujhe jeene ki khwaahish ab.
Sula mujhe apni baahon mein,
Na kare kabhi mann uthne ka,
Maut bhi aa jaye agar teri aaghosh mein,
Na ho afsoos zindagi kho dene ka.
Ikraar sunne ko woh taras gaye,
Inkaar hum karte reh gaye,
Galti na thi is mein humari,
Aankhon mein unki thi itni mohabbat ki hum ulajhte chale gaye.
Meri Chahat Tum Se Alag Kab Hai,
Dil Ki Batain Tum Se Chup Kab Hai,
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Tarah,
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai
Kyun Hamesha Kisi Ki Talash Hoti Hai,
Yun Dil Ko Kisi Ki Aas Hoti Hai,
Chand Ko Dekho Wo Bhi To Tanha Hai,
Pir Bhi Chandni Se Roshan Uski Raat Hoti Hai.
Wafa Ban K Tere Sath Rahun,
Dharakte Dil Ki Sada Ban K Tere Sath Rahun,
Mere Honton Se Jisay Mout B Na Cheen Sakay,
Wo Zindagi Ki Dua Ban K Tere Sath Rahun,..,.,,.,.,
Kitna pyar kiya hai tumein
Tum humare pyar ko samaj hi nahi paye
Kuch to kami hogi is pyar mein
Ke aaj tum chale gaye humein chor kar