Yeh kyaa kahaa ki meri balaa bhii na aayegi
Kya tum na aaoge to kazaa bhi na aayegi.
Aakhiri herf ke hisab se sher banale pl.
najane kaun duaon main yaad rakhta hai
main dobta hon samandar uchal deta hia...
Yeh
Yeh kyaa kahaa ki meri balaa bhii na aayegi
Kya tum na aaoge to kazaa bhi na aayegi.
Aakhiri herf ke hisab se sher banale pl.
Last edited by R. M. Dixit; 01-01-2015 at 08:44 PM.
yeh aur baat hai k izhar ho na saka hum sey
nai hia tum se mohabbat yeh kaun kehta hia...
Yeh
Yeh tanhaayi ki taariiki to badti aur bhi humdum
Ganimat hai ki yaadon se chiraagan ker diya maine
Ye
Yeh duniya aik samandar hia magar sahil Madina hai
her ik mouj bala ki raah per hail Madina hai
Yeh
Yeh aaine main mere aks ke siwaa kyaa tha,
Ki ek shakhs achanak dahel gaya mujhmain
Noon
nadaamaten hon to sar baar-e-dosh hotaa hai
'Faraz' jaaN ke evaz aabaruu bachaa le jaa
"alif"
Aap pachtaayen nahin jour se taubaa na karen
Aapke ser kiqsam daag ka haal achha hai
Yeh
yeh kaun phir se inhey raston main chor gaya
abhi abhi main azab e safar se nikla tha...
Alif
Ab ke hum bichre to shaayad kabhi khwabon main mile
Jaise sukhe hue phool kabhi kitaabon main mile.
Ye