Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koi Ghair Ghair hota, koi yaar yaar hota
alif
Quran pe Shaair nahin banta isliye
"Yeh" se bana diya : Dekh lijiye
Ye ruke - ruke se aansu, ye ghuti - ghuti aahen
Yuon hi kab talaq Khudaya, game zindgi nibahen.
Last edited by R. M. Dixit; 19-04-2012 at 10:12 PM.
Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koi Ghair Ghair hota, koi yaar yaar hota
alif
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
Aapki aankhon main kuch bahke hue se raaj hain
Aapse bhi khoobsurat aapke andaaz hain
Aapki aankhon main kuch khoye hue se raaj hain
aapse bhi khoobsurat aapke andaaz hain.
Agla alfaaz " Hain"
Last edited by R. M. Dixit; 01-05-2012 at 01:55 PM.
hai ye zid tujh ko tujhe se pana hai
agar khuda se mangu tu abhi mil jaye mujhe
mein to youn chup hoon ke ander se bht khaali hoon
dekhne waale purasraar samjhte hain mujhe
Mujhe derde dil ka pata na tha mujhe
aap kis liye mil gaye,
Main akele yuoon he maze main tha mujhe
aap kis liye mil gaye.
Last edited by R. M. Dixit; 07-06-2012 at 09:58 PM.
Youn dekhty rehna ussy acha nahi MOHSIN,
Wo kanch ka pekar ha to pather teri ankhain....!
Main is se ziada zabt ki misaal kya deti,,,,
Wo mujh se lipat k roya kisi or k liye :'(
Ye Kaun Chala Chaman Se Khaamoshiyaan Le Kar
Wo Kyun Ro Utha Siskiyaan Le Kar
Khush Ho Rahe Thay Jo Mere Doobne Par
Aaj Wo Hi Nikle Hain Meri Talaash Main Kashtiyaan Le Kar