Results 1 to 6 of 6

Thread: Arbab-e-Zoq Ko Aadaab

  1. #1
    Join Date
    Oct 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    34
    Posts
    34
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Arbab-e-Zoq Ko Aadaab

    Arbab-e-Zoq Ko Aadaab….!
    Kuch Ishq Ki **fiyyaat ** Baray Me Likhnay Ki Adnaa Si Koshish Ki Hai….Wo Ap Sab Ki Nazar Kr Rahi Hun….
    Doston Ki Qeemti Raye ka Intizaar Rahay Ga….



    ISHQ ME JO BHI MUBTALA HO GA

    Ishq Me Jo Bhi Mubtala Ho Ga
    Chain Us Ko Kahan Mila Ho Ga

    Us K sapnay Dhuwan Dhuwan Hon Gy
    Us Ki aankhon Me Ratjaga Ho Ga

    Us K Lehjay Me Chashni Ho Gi
    Us Ki Baton Me Ik Nasha Ho Ga

    Us Ki Sochen Buland-tar Hon Gi
    Us Ka Kirdar Bhi Juda Ho Ga

    Surat-e-Yaar Band Aankhon Se
    Apnay Dil Me Wo Dekhta Ho Ga

    Teri aankhon Se Jis Ne Pee Ho Gi
    Us Ne Phir Jaam Na Chhuwa Ho Ga

    Jab Wo Ik Ghair Ka Hua Ho Ga Sadia
    Jeetay Ji Koi Mar Gaya ho Ga




    Sadia Mahnoor Baloch

  2. #2
    Join Date
    Mar 2011
    Location
    aap ke dil meN
    Posts
    162
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474850

    Default Re: Arbab-e-Zoq Ko Aadaab

    Quote Originally Posted by Mahnoor.90 View Post
    Arbab-e-Zoq Ko Aadaab….!
    Kuch Ishq Ki **fiyyaat ** Baray Me Likhnay Ki Adnaa Si Koshish Ki Hai….Wo Ap Sab Ki Nazar Kr Rahi Hun….
    Doston Ki Qeemti Raye ka Intizaar Rahay Ga….




    Sadia Mahnoor Baloch

    maashaa Allah
    kyaa dilkash kalaam hai
    bohot see daad aap kee Khidmat meN pesh hai
    اسماعیل اعجاز خیال
    محبتوں سے محبت سمیٹنے والا
    ” خیال” آپکی محفل میں آج پھر آیا
    Ismail Ajaz Khayaal
    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    "Khayaal"aapkee maiHfil meN aaj phir aayaa

  3. #3
    Join Date
    Oct 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    34
    Posts
    34
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: Arbab-e-Zoq Ko Aadaab

    bht shukriya janab

  4. #4
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Re: Arbab-e-Zoq Ko Aadaab

    bhut khoob bhut acha likha sis...
    keep writing.....

  5. #5
    Join Date
    Oct 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    34
    Posts
    34
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: Arbab-e-Zoq Ko Aadaab

    ap ne hamaray kalam ko psand kia us ke lie Sadia Mahnoor ap k dil se shukr guzar hay, khush rhein khushiya bantei

  6. #6
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Arbab-e-Zoq Ko Aadaab

    Assalam o Alaikum,,mahnoor ji yeh apki apni poetry hai?
    mujhe lagta hai meine kahiin perhi hai...
    Alhamdullilah

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •