Doston, Bahut arse pehle ek sher likha tha aaj usi sher ko ghazal ki shakl dene ki koshish ki hai...aap sab apni ray se zaroor nawaziyega aur ismail sahab aur *resham* se meri darkhwast hai ki ise kaise durust kiya jaaye zaroor bataiyega..intizaar rahega!!Shukriya!


Chehre ko naqaab meiN chupaaye kaun baitha hai?
HaathoN ko duaooN meiN uthaaye kaun baitha hai?

Is sang duniya meiN Khuda ki paak baargaaH meiN
Apni gardan ko jhukaaye kaun baitha hai?

kaun hamdard hai jo mere jeene ki duaayeiN karta hai
jaane ashq aankhooN meiN samaaye kaun baitha hai?

Aaj tak jo bhi mila jaane kyoN nazreiN chura leta tha
aaj hamari nazroN se nazreiN milaaye kaun baitha hai?

muddat huyi jab kisi ne palatkar haal-e-dil poocha ho
aaj haq meiN Sadia ke,mehfil saajaye kaun baitha hai?


Fakat khaaksaar,
Sadia Mahnoor Baloch