Gar mujhe iska yaqiin ho
mere hamdum mere dost
gar mujhe iska yaqiin ho
ke tere dil kii thakan
Terii ankhon kii udaasii tere siine kii jalan
merii diljouyi mere piyar se mit jaiy gi
gar mera harf e tasalii woh dawa ho jis se
ji uthae phir tera ujraa hoa benoor dimagh
Teri peshaani se dhul jain ye tazlil ke daag
Teri bemaar jawani ko shafaa ho jaiy
Gar mujhe iska yaqin ho mere hamdum mere dost
roz o shab sham o sahar mein tujhe behelataa rahoun
mein tujhe geet sunaataa rahaoun
halke shireen
aabshaaroun ke baharoun ke chaman zaaroun ke geet
aamad e subh ke mehtaab ke siyaaroun ke geet
tujh se mein husn o mohabaat kee hikayat kahoun
Kaise mughroor hasinaoun ke barfaab se jism
garm hathoun ki haraarat se pighal jaatae hein
Kaise ek chehre ke therae hoay maanus naqush
dekhte dekhtae yuklukht badal jaatae hein
kiss tarha aariz e mehbub ka shafaaf bilour
yukbayuk baad aiy ahmar se dehak jaata hei
kaise gulcheen ke liye jhuktee hei khud shaakh e gullaan
kiss tarha raat ka aiwaan mehak jaata hei
Yunhee gaata rahoun gata rahoun teri khaatir
geet buntaa rahoun ,betha rahoun teri khaatir
pur mere geet tere dukh ka mudawa hee nahi
naghma jarrah nahi munis o gham khaour sahee
geet nashtar tu nahi marham e azaar sahi
tere azaar ka charaa nahi nashtar ke siwa
Aur ye safak maseeha mere qabze mein nahi
iss jahaan ke kisi zee ruh ke qabze mein nahi
Haan magar tere siwa , tere siwa......tere siwa.....................!