buhat khub
Fasana mera gam ka sun ke taron ko na neend aayi
Subeh tak saath jaage, Khuda ke maron ko na need aayi.
Juban per kal tumara jikra aaya tha sare-mahfil
Hamain to kya hamare gam - gusaron ke na neend aayi.
Kafas main jab mujhe sayaad ne per noch ke dala
laraj utha chaman saara, baharon ko na neend aayee.
Tabahi dekh ker meri bahut uljhe wo maujon se
Ki gerke-aab hoker bhi kinaron ko na neend aayi.
Jise kahti hai duniya dosti, ek cheez hai Sajan
Wafa ko terk ker baithe to yaaron ko na neend aayee.
Last edited by R. M. Dixit; 23-11-2011 at 04:52 PM.
bohat khoob
جن کا ملنا محال ہو آتش
ان کی یادیں عذاب ہوتی ہیں
its my fb page clik and join me ... its poetry page
http://www.facebook.com/Never.Let.U.Go.142
Shukriya Zindgi aur D. Boy
aapne ghazal ko tavazzo di aur
daad se mawaza. So nice.