-
~ Sargoshi ~
Usne meray seenay per sar
rakh ker poocha
Janan apne jeewan ka woh
lamha to batao mujh ko
jis k badlay mil saktay
hain sabhi sitare
daryaon k saray moti
sawan ki pehli barish k
saray qatray
ujle chand ki sari kirnain
dharti kay seenay se liptay
sabhi khizanay
saray mosam sabhi duayen
phoolon ki rangeen qubayen
pati pati parnay wali
bheeni shabnam
main nay kaha ISM-E-AZAM.........
Us nay meray seenay per sar rakh ker poocha
jana apnay jeewan ka woh lamha to batao mujh ko
jis kay badlay sab khuch, apna sab khuch, sab khuch, apna sab khuch
dey saktay ho
maine uska hath chuma aur bola jab
pehli bar meray seenay per tumnay APNA HATH REKHA THA....
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules