Usay kehna kitabon mein rakhe sukhe huwe kuch phool,
Uske laut anay ka yaqin ab tak dilatay hain,
Usay kehna ke uski jheel si ankhein kisi manzar pe cha jayen,
To sab manzar yunhi phir bheeg jatay hain,
Usay kehna ke thandi baraf par koi kisi ke sath chalta hai,
Tou qadmon ke nishaan Phir se usi ke laut anay Ka yaqin dilatay hain,
Usay kehna ke uski ankho ka wo ansu,
Sitare ki tarah ab bhi humein shab bhar jagata hai,
Usay kehna ke barish pe khirkiyon pe uske ansu rungti hai,
Usi ka nam likhti hai,
Usy hi gungunati hai,
Usay kehna ke khushboo,chandni,tare,saba,raste,ghata,kajal,
Mohabbat,chandni,shabnam,hawayen,raat,din,badal.. Sabhi naraz hain humse!
Usy kehna judai ke darakhto par jo sukhi tehniyan hain,
Wo sari baraf ki chadar mein kab ki dhak chuki hain,
Aur un shakhon pe yadon ke,
Jo patte thay sunehre hogaye hain,
Usay kehna december sogaya hai,
Aur wo bheega january phir laut aya hai,
Usay kehna ke laut ao,
Ab december so gaya hai..