Page 4 of 4 FirstFirst ... 234
Results 31 to 39 of 39

Thread: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

  1. #31
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Kya Mila mohabbat say...??
    Khawab ki musafat say
    Vasal ki tamazat say
    roze o shab riyazat say
    Kya mila mohabbat say.??
    Aik hijar ka sehra
    Aik shaam yadon ki
    Aik thaka hua aanso...!!!





    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  2. #32
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Dukh may khoye khayal si
    Ghari thi gehray malal ki
    Bheegi aankhain
    laarzaan hont
    shame vida thi vasaal ki...





    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  3. #33
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye
    charaGhoN ki tarah aaNkheN jaleN jab shaam ho jaye

    maiN Khud bhi ehtiyatan us gali se kam guzarta hooN
    koi masoom kyoN mere liye badnaam ho jaye

    ajab halaat the yooN dil ka sauda ho gaya aaKhir
    mohabbat ki haveli jis tarah neelaam ho jaye

    samandar ke safar meiN is tarah awaaz do hamko
    hawayeN taiz hoN aur kashtiyoN meiN shaam ho jaye

    mujhe maloom hai us ka Thikana phir kahaN hoga
    parinda aasmaaN choone meiN jab nakaam ho jaye

    ujaale apni yaadoN ke hamare saath rahne do
    na jane kis gali meiN zindagi ki shaam ho jaye
    Alhamdullilah

  4. #34
    Join Date
    Feb 2009
    Location
    City Of Light
    Posts
    26,767
    Mentioned
    144 Post(s)
    Tagged
    10310 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    <b><b>

    Visal Rut Ki Yeh Pehli Dastak Hi Sarzanish Hay

    Kay Hijr Mousam Ne Rastey Rastey Safar Ka Aaghaz Kar Diya Hay

    Mery Haathon Ka Lams Jab b Teri Wafa Ki Hathelion Par Hina Banay Ga
    To Soch Lena

    Rafaqaton Ka Sunehra Sooraj Gharoob k Imtehan Mein Hay

    Hamarey Baaghon Se Gar Titlion Ki Khushboo Guzar Na Paye To Yeh Na Kehna

    k Titlion Ne Gulab Rastey Badal Liye Hain

    Agar Koi Sham Yun b Aye k Jis Mein Hum Tum Lagay Paraye
    To Jan Lena

    k Sham Be-Bas Thi Tareekion k Haathon

    Tumhari Khuwahish Ki Muthiyan Be Dhayani Mein Kabhi Khulay
    To Yaqeen Karna

    k Meri Chahat k Jugno'oun Ne

    Tumharey Haathon k Lams-e-Taza Ki Khuwahishon Mein

    Barey Ghanery Andhery Kaatey

    Magar Yeh Khadshey,Yeh Waswasey To Takallufan Hain

    Jo Be Irada Safar Pe Nikley

    To Yeh To Hota Hay Yeh To Hoga

    Hum Apney Jazbon Ko Manjumand Raeganiyon k Sapurd Kar k
    Yeh Soch Lein Ge

    k Hijr Mousam To Wasl Ki Pehli Sham Se Hi
    Safar Ka Aaghaz Kar Chuka Tha...!!!


    </b>




    </b>



    3297731y763i7owcz zps9ed156a3 - Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    MAY OUR COUNTRY PROGRESS IN EVERYWHERE AND IN EVERYTHING SO THAT THE WHOLE WORLD SHOULD HAVE PROUD ON US
    PAKISTAN ZINDABAD











  5. #35
    Join Date
    Jun 2010
    Location
    Jatoi
    Posts
    59,925
    Mentioned
    201 Post(s)
    Tagged
    9827 Thread(s)
    Rep Power
    21474910

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"


    چاہت کا ایک میٹھا میٹھا درد جگانے شام ڈھلے !
    تیری یادیں آ جاتی ہیں مُجھ کو ُرلانے شام ڈھلے

    تیری ُزلفیں ان کاندھوں پر ، تیرا چہرہ ہاتھوں میں !
    میں نے بھی دیکھے ہیں کتنے خواب سُہانے شام ڈھلے

    ہر دن ہم سے وعدہ کرکے یوں ہی اگر تڑپاؤ گے !
    اک دن یوں ہی ہو جائیں گے ہم بھی دیوانے شام ڈھلے

    دن کے اُجالے میں تو منا لُوں ، لاکھ جتن سے بہلا لوں
    لیکن ِدل کا پاگل پَنچھی ایک نہ مانے شام ڈھلے





    تیری انگلیاں میرے جسم میںیونہی لمس بن کے گڑی رہیں
    کف کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے نہ اتارنا

  6. #36
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    Karachi....
    Posts
    31,280
    Mentioned
    41 Post(s)
    Tagged
    6917 Thread(s)
    Rep Power
    21474882

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Zabardastttttttttt sharings


    Ik Muhabbat ko amar karna tha.....

    to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!


  7. #37
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Quote Originally Posted by Zindagi View Post
    <b><b>

    Visal Rut Ki Yeh Pehli Dastak Hi Sarzanish Hay

    Kay Hijr Mousam Ne Rastey Rastey Safar Ka Aaghaz Kar Diya Hay

    Mery Haathon Ka Lams Jab b Teri Wafa Ki Hathelion Par Hina Banay Ga
    To Soch Lena

    Rafaqaton Ka Sunehra Sooraj Gharoob k Imtehan Mein Hay

    Hamarey Baaghon Se Gar Titlion Ki Khushboo Guzar Na Paye To Yeh Na Kehna

    k Titlion Ne Gulab Rastey Badal Liye Hain

    Agar Koi Sham Yun b Aye k Jis Mein Hum Tum Lagay Paraye
    To Jan Lena

    k Sham Be-Bas Thi Tareekion k Haathon

    Tumhari Khuwahish Ki Muthiyan Be Dhayani Mein Kabhi Khulay
    To Yaqeen Karna

    k Meri Chahat k Jugno'oun Ne

    Tumharey Haathon k Lams-e-Taza Ki Khuwahishon Mein

    Barey Ghanery Andhery Kaatey

    Magar Yeh Khadshey,Yeh Waswasey To Takallufan Hain

    Jo Be Irada Safar Pe Nikley

    To Yeh To Hota Hay Yeh To Hoga

    Hum Apney Jazbon Ko Manjumand Raeganiyon k Sapurd Kar k
    Yeh Soch Lein Ge

    k Hijr Mousam To Wasl Ki Pehli Sham Se Hi
    Safar Ka Aaghaz Kar Chuka Tha...!!!


    </b>




    </b>
    oye bajji yeh meine abhi posta hai....
    Alhamdullilah

  8. #38
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Sham se pahle aana
    Dhoup sari dhal rahi ho
    Phool sare khil gaye hoon
    Mousam sare le ana
    Phir wohi din aaye hain
    Jane kiya le aaye hain
    Jewan mera
    Sara tera
    Jeena to ek bahana hay
    Aik tere a jane se
    Mil rahe hain zamane se
    Jewan mera
    Sara tera
    Duur phir kiya jana hay
    Sham se pahle aana
    Dhoup sari dhal rahi ho
    Phool sare khil gaye hoon
    Mousam sare le aana




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  9. #39
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    Karachi....
    Posts
    31,280
    Mentioned
    41 Post(s)
    Tagged
    6917 Thread(s)
    Rep Power
    21474882

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    closed


    Ik Muhabbat ko amar karna tha.....

    to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!


Page 4 of 4 FirstFirst ... 234

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •