Aisi hi sard sham thi wo bhi........
Jab vo mahndi rachaye hathon main...........
Apni ahat ke khauf se larazan........
Surkh anchal main munh chipaye hue.........
Apne khat mujh se lene ai thi..........
Us ki sahmi hui nigahon main........
Kitni khamosh iltijayen thin..........
Us ke chehre ki zard rangat main.........
Kitni majaburiyon ke saye the........
Mere hathon se khat pakarte hi........
Jane kya soch kar achanak vo.........
Mera shana pakar kar roi thi........
Us ke yaqut rang honthon ke.........
Kapkapate hue kinaron par..........
Saikaron ankahe fasane the........
Sard shamon main der tak aksar........
Jab ye manzar dikhai deta hai........
Ek lamha hinai hathon se........
Mujh ko apani taraf bulata hai........
Hamnashin ruth kar na ja mujh se........
Aisi hi sard sham thi wo bhi.........!!!