Assalamualikum Arakeen!
Is Haftay Aap ko Lafz "Shaam" diya ja raha hai.... Aap Shaiiri ki koi bhi Isnaaf Istimal kar sakte hain ......chahay woh Ghazal hu , Nazm , Shair Ya Rubaai .....leken Khayal rahay k Unwaan k Mutabiq hu!
Aap 28.Dec.2011 tak jitni chahain Post Share Kar sktay hain leken us main sy aik hi ko bator Fateh Tasleem kya jaye ga!
Aur Jo Fateh huga usay aglay haftay k muqabily k leye Unwaan pasand karne ka moqa dya jaye ga.....!
Aap se Request ki jati hai k sirf Shaiir hi Share kijeye ga is tarhan thread ka hussn barqarar rahay ga, ta-ham kuch samjh na aye to pooch sakte hain!!!!!
tu dair kis baat ki , Shaam par dil khul kar post kijeye hu sakta hai aglay Fateh(winner) aap hi hun!
Ankh ban jati hai Sawan ki Ghata
SHAM K BA’D
Mujse ho jata hai har koi khafa
SHAM K BA’D
Chand jab ro k sitaron se galy milta hai,
Aik ajab Rang ki hoti hai Fiza
SHAM K BA’D
Hum ne tanhai se pocha k milo ge kab tak?
Us ne be-chaini se foran he kaha
SHAM K BA’D
Loat aati hai meri shab ki Ibadat khali
Janey kis Arsh pe rahta hai khuda
SHAM K BA’D
Mar deta hai bichar janey ka dohra ehsas,
Kash na ho koi kisi se juda
SHAM K BA’D
Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lagge..
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lagge..
Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhul Jao Mujye..
Tumhe Bhulane Mein Shayad Mujye Zamana Lagge..
Humare Pyaar Se Jalne Laggi Hai Eik Duniya..
Duwa Karro Kissi Dushman Ki Bad Duwa Na Lagge..
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Burra Na Lagge..
Tumhare Shaher Ka Mausam Barra Suhana Lagge..
Jo Dub Na Hai To Itne Sakoon Se Dubbo..
Ke Ass Paas Ki Lehroon Ko Bhi Pata Na Lagge..
Kuch Is Aadha Se Mere Saath Bewafai Kar..
Ke Tere Baad Mujye Koi Bewafa Na Lagge..
Tumhare Shehar Ka Mausam Barra Suhana Lagge...
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Burra Na Lagge...
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
Aisi hi sard sham thi wo bhi........
Jab vo mahndi rachaye hathon main...........
Apni ahat ke khauf se larazan........
Surkh anchal main munh chipaye hue.........
Apne khat mujh se lene ai thi..........
Us ki sahmi hui nigahon main........
Kitni khamosh iltijayen thin..........
Us ke chehre ki zard rangat main.........
Kitni majaburiyon ke saye the........
Mere hathon se khat pakarte hi........
Jane kya soch kar achanak vo.........
Mera shana pakar kar roi thi........
Us ke yaqut rang honthon ke.........
Kapkapate hue kinaron par..........
Saikaron ankahe fasane the........
Sard shamon main der tak aksar........
Jab ye manzar dikhai deta hai........
Ek lamha hinai hathon se........
Mujh ko apani taraf bulata hai........
Hamnashin ruth kar na ja mujh se........
Aisi hi sard sham thi wo bhi.........!!!
Abhi suraj nahi duba zara si sham hony do
Main khud he loat jaon ga mujhy nakam hony do…
Mujhy badnam karny k bahany dhondtay ho keun
Main khud ho jaon ga badnam pehly naam hony do…
Abhi mujh ko nahi karna hay aitraf-e-shikast apna
Main sab tasleem kar long ga ya charcha aam hony do…
Meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakta
Wafain baich lena per zara neelaam hony do…
Naye aghaz mein hi hosla keun tor baithay ho
Sabhi kuch tum hi jeeto gay zara anjam hony do…