Aa gai yaad shaam dhaltey he
bujh gaya dil chiragh jaltey he
khul gaey shehr-e-ghum ke darwazey
ik zara si hava ke chaltey he
kaun tha tu? ke phir na dekha tujhey
miT gaya khavab Aankh maltey he
tu bhi jaisey badal sa jata hai
aks-e-deewar ke badaltey he
By Muneer Niazi
Har sham ke baad raat aati hai,
Har ghari aapki yaad aati hai,
Chup rehkar bhi dekh liya hamne par,
Khamoshi se bhi aapki awaz aati hai.
dar dar bhatakte hai arman ki tarha
har koi milta hai anjaan ki tarha
iss duniya se khushi ki aas kya rakhni
yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha
Tumhe jab kabhi mile fursatein mere dil se naam utar do
Main bohat dino se udaas hoon mujhe ek shaam udhar do
Mujhe apne rang me rang do mere sare zang utar do
Mujhe apne rang ki dhoop do ke chamak sake meri khal
Kisi aur ko mere haal se garz hai na wasta
Main bikhar gayi hoon samet lo main bigar gayi hoon sanwar do
Tum ko kaisi lagi sham meri khawahishon ke dedar ki
Jo bhali lage to inko chahat se nikhar do
Wahan ghar me kon hai muntazir ke fikar ho der sawer ki
Bari mukhtasir si ye raat hai ise chandni me guzaar do
Main bohat dino se udaas hoon mujhe ek shaam udhar do
Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalana sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
گئی رتوں میں تو شام Ùˆ سØ+ر Ù†Û ØªÚ¾Û’ ایسے
Ú©Û ÛÙ… اداس بÛت تھے مگر Ù†Û ØªÚ¾Û’ ایسے
ÛŒÛاں بھی پھول سے Ú†Ûرے دکھا ئی دیتے تھے
ÛŒÛ Ø§Ø¨ جو Ûیں ÛŒÛÛŒ دیوار Ùˆ در Ù†Û ØªÚ¾Û’ ایسے
ملے تو خیر Ù†Û Ù…Ù„Ù†Û’ Ù¾Û Ø±Ù†Ø¬Ø´ÛŒÚº کیسی
Ú©Û Ø§Ø³ سے اپنے مراسم تھے پر Ù†Û ØªÚ¾Û’ ایسے
رÙاقتوں سے مرا ÛÙˆÚº مساÙتوں سے Ù†Ûیں
سÙروÛÛŒ تھا مگر ÛÙ… سÙر Ù†Û ØªÚ¾Û’ ایسے
Ûمیں تھے جو ترے آنے تلک جلے ورنÛ
سبھی چراغ سر رÛگزر Ù†Û ØªÚ¾Û’ ایسے
دل ØªØ¨Ø§Û ØªØ¬Ú¾Û’ اور کیا تسلی دیں
ترے نصیب ترے Ú†Ø§Ø±Û Ú¯Ø± Ù†Û ØªÚ¾Û’ ایسے
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
Udas hogaya safar
Khili hoi kali bhi ro pari lab-e-hisar-e-gham
Fishar-e-gham bata gaya
Khayal kham zindagi
Ye subha subha mout si
Ye sham sham zindagi
Ye bam bam zindagi
Khud aagahi ka shouq bhi hai
Dhiyaan main racha hua
Tou bayhisii ka ranj bhi
Naseeb main basa hua
Ye baybasi ye baybasi
Ye ashq ashq maykashi
Thathak thathak gaya sama
Khamoshiyan khamoshiyan
Kisi k rukh per ak pall bhi tiktiki
Na jam saki
Baras gai jo chashm-e-dill
Tou dill say bhi na tham saki
Shab-e-panah aaah main na jaany kab
Badal gai
Subuk subuk sadaye dill
Chanan chanan radaye dill
Hawa hawa khayal sab
Juda juda malal sab
Khuda khuda sawal sab
Kabhi tou shah zindagi kabhi ghulam zindagi
Ye subha subha mout si
Ye shaam shaam zindagi
Ye shaam shaam zindagi..........
Yeh Dhoop KinarEy Shaam Dhaley
Miltey hain DoNu waqt jahan
Jo raat na din Jo aj na kal
Pal Bhar mein Amar
pal bhar mein DhuaaN...
Alhamdullilah
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kami si hai
shaam se aankh mein nami si hai
dafan karr do humme ke sans mille
nabaj kuch derr se thami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
waqt rehta nahin kahi tikk karr
iski aadat bhi aadami si hai
iss ki aadat bhi aadami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
koi rishta nahin raha phir bhi ek tasvir lajmi si hai
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
Alhamdullilah
Visal Rut Ki Yeh Pehli Dastak Hi Sarzanish Hay
Kay Hijr Mousam Ne Rastey Rastey Safar Ka Aaghaz Kar Diya Hay
Mery Haathon Ka Lams Jab b Teri Wafa Ki Hathelion Par Hina Banay Ga
To Soch Lena
Rafaqaton Ka Sunehra Sooraj Gharoob k Imtehan Mein Hay
Hamarey Baaghon Se Gar Titlion Ki Khushboo Guzar Na Paye To Yeh Na Kehna
k Titlion Ne Gulab Rastey Badal Liye Hain
Agar Koi Sham Yun b Aye k Jis Mein Hum Tum Lagay Paraye
To Jan Lena
k Sham Be-Bas Thi Tareekion k Haathon
Tumhari Khuwahish Ki Muthiyan Be Dhayani Mein Kabhi Khulay
To Yaqeen Karna
k Meri Chahat k Jugno'oun Ne
Tumharey Haathon k Lams-e-Taza Ki Khuwahishon Mein
Barey Ghanery Andhery Kaatey
Magar Yeh Khadshey,Yeh Waswasey To Takallufan Hain
Jo Be Irada Safar Pe Nikley
To Yeh To Hota Hay Yeh To Hoga
Hum Apney Jazbon Ko Manjumand Raeganiyon k Sapurd Kar k
Yeh Soch Lein Ge
k Hijr Mousam To Wasl Ki Pehli Sham Se Hi
Safar Ka Aaghaz Kar Chuka Tha...!!!
Alhamdullilah