Page 3 of 4 FirstFirst 1234 LastLast
Results 21 to 30 of 39

Thread: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

  1. #21
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"


    safar ki shaam

    hum ne hi louTney ka Irada nahiin kiya
    usne bhii BhOOl jaNey Ka Wada NahiiN kiya
    Dukh odhte nahiin kabhi jashan e Turb meiN hum
    malbOOs e dil kO tan ka libaDah nahiin kiya
    jO ghuM mila haii bOjh uThaya haii uska khuD
    sar zeer baar e saGhar O Baadeh nahiiN kiya
    kaar e jahan humeiN bhii buhut the safaR ki shaaM
    usne bhi altufaat zyada nahiin kiya
    Amad pe teri ater o chiraag O saboo na hOn
    itna bhi bOd o bash ko sadha nahiiN kiya

    :: Parveen shakir:::::::
    Last edited by мιѕнααℓ; 27-12-2011 at 03:00 PM. Reason: removing emo ":P"
    Alhamdullilah

  2. #22
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
    Kisi Sunsaan Sapne Mein Chhupi Khwahish Ki Hidaat Mein,
    Kisi Masroofiyat Ke Mod Par,
    Tanhayi Ke Sehraon Mein,
    Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
    Kisi Bichhde Hue Ki Chashm-E-Purnam Ke Nazare Par,
    Kisi Beete Hue Din Ki Ot Mein,
    Ya Phir Tumhare ZiQr Mein Guzri Hui Shab Ke Ishare Par,
    Kisi Basti Ki BaronaQ Sadak Par,
    Aur Kisi Dariya Kisi Veeran Jungle Ke Kinare Par,
    Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
    Kabhi Sunsaan Raaston Mein,
    Suhani Shaam Ho Koi,
    Kahin Barish Baras Jaye,
    Kahin Sehra Taras Jaye,
    Kahin Kaali Ghata Utre,
    Kahin Baad-E-Saba Thehre,
    Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
    Mujhe Tum Yaad Aate Ho...
    Alhamdullilah

  3. #23
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi
    ****************************

    Aaj bhi patthar hijr ka lamha
    sadyon say bekhoab ruton ki
    aankhon ka maqsoom raha

    Aaj bhi apnay wasl ka tara
    raakh urdati shaokh shafaq ki
    manzil say maadoom raha

    Aaj bhi sheher mein pagal dil ko
    teri deed ki aas rahi
    muddat ki gum sum tanhaai
    aaj bhi meray paas rahi
    aaj bhi shaam udaas rahi !!!

    ::::: Mohsin Naqvi :::::::::
    Alhamdullilah

  4. #24
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Akela raat bahar tarpa marez e shame e gaam tanha
    na tum aye na neend ai na chain aya na mout aii..




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  5. #25
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle,
    Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

    Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata,
    Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

    Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the,
    Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

    Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge,
    Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

    Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak,
    Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

    Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
    Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle..!!!




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  6. #26
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Jis din tum ko shaam sataye
    Sard hawa dil na behlaye
    Jis shaab jana
    So na sako tum
    Tanhai may bhi tanha
    Ho na na sako tum
    Bay cheni kuch barh si jaye
    Aankh bay wajah numm ho jaye
    Samjho
    May nay yaad kiya hay




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  7. #27
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Suna hai yaad krtay ho
    Key jab bhi shaam dhalti hai
    Hijr main Jaan jalti hai
    Tum apni raat ka aksar sukoon barbaad krtay ho.
    Suna hai yad krtay ho

    Jab panchi loat ate hain
    Ghamo ke geet gate hain
    "Suno! tum lout aao na" yehi faryad krte ho
    Suna hai yaad krtay ho.

    Sitaare jab falak pe jagmagate hain
    Woh beetay hoe pal khob rulate hain.
    Tum us dam apni aankhon main
    Mjhe Aabad krtay ho,
    Suna hai yaad krtay ho
    Mjhe tum yaad krtay ho...!!!




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  8. #28
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    Wisaal-O-Hijr Me
    Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Me
    Kisi Ahd-E-Rifaqat Me
    Ke Tanhai Ke Jangal Me
    Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Me
    Chamkti Dhoop Me Ya Phir
    Kisi Be Abr Saye Me
    Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Me
    Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Me
    Chiraghon Se Saji Shaamon Me
    Ya Benoor Raaton Me
    Sahr Ho Runuma Jaise Kaheen Baaton Hee Baaton Me
    Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah
    Sandal Ki Khushboo Me
    Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon
    Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho
    Kahin Kaisa Hai Manzar Ho
    Kahin Kaisa Hai Mausam Ho
    Tere Saare Hawalon Ko
    Teri Saari Misalon Ko
    Mohabbat Yaad Rakhti Hai...!!!!




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  9. #29
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"

    پروں میں شام ڈھلتی ہے

    کہاں جانا تھا مجھ کو
    کس نگر کی خاک بالوں میں سجانا تھی
    مجھے کن ٹہنیوں سے دھوپ چُننا تھی
    کہاں خیمہ لگانا تھا
    مری مٹی راہِ سیارگاں کی ہمقدم نکلی
    مری پلکوں پہ تارے جھلملاتے ہیں
    بدن میں آگ لگتی ہے
    مگر پاؤں میں خوں آ شام رستے لڑکھڑاتے ہیں
    یہ کیا شیرازہ بندی ہے
    یہ میری بے پری کس کُنج سے ہو کر بہم نکلی
    نظر میں دن نکلتا ہے
    پروں میں شام ڈھلتی ہے
    مگر میں تو لہو کی منجمد سل ہوں
    بدن کی کشتِ ویراں میں
    یہ کس کی اُنگلیوں نے عمر بھر مجھ کو کریدا ہے
    کہاں شریان میں چلتا ہوا یہ قافلہ ٹھہرا
    کہ میں اس ہاتھ Ú©ÛŒ ریکھاؤں میں رنگِ Ø+نا ٹھہرا
    کہاں جانا تھا مجھ کو
    کس جگہ خیمہ لگانا تھا
    Last edited by Seven Tiles; 27-12-2011 at 04:06 PM.




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  10. #30
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Is Haftay Ka Unwaan "Shaam"



    Sham hotay hi may sub diye bujha deta hon
    Mera dil hi kafi hay teri yaad may jalnay kay liye






    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


Page 3 of 4 FirstFirst 1234 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •