sawal acha hai
per mohabbat ki hi nahiin tu us per kia likhOn?@kabhi koi mor aisa aya?
jitna tajzia hain logoN ko dekh kr us hisaab se nhi likh sakti??
Naya Saal Mubarak Ho
گُماں یہ بے ثباتی کا
یقیں بن بن کے ہر لمحہ
بڑی شدت سے میرے ذہن کا دامن ہلاتا ہے
یہی باور کراتا ہے
کہ حرف و لفظ کا جتنا اثاثہ تھا
فنا کی سرحدوں پر ہے
سخن سّچائی کا سارا تفاخر ٹوٹنے کو ہے
محّبت رُوٹھنے کو ہے
kya aap ki muhabbat main koi aisa mor aaya k muhabbat rooth gai hu? aur muhabbat rooth jaye tu kya araam se maan jati hai ya us ko mananay main sadiyan lag jati hain? ...
ji han is mah ka yeh sawal seedha seedha magar apne andar yaqenan hazaro sawal rkhta hai ........ ayen aur apni raye ka izhar karain!
(Paras ne Question diya hia)
Rules :
1 ... Aik member aik he bar Share Karsakta hai.
2 ... Aik jaisa mat share kijeye ga.
3 ... Comp ki last Date 21 January hai.
4 ... Please be advised that there will be no poll for deciding the competition winner. From now on Admin Jury will decide who the winner for each competition is.
sawal acha hai
per mohabbat ki hi nahiin tu us per kia likhOn?@kabhi koi mor aisa aya?
jitna tajzia hain logoN ko dekh kr us hisaab se nhi likh sakti??
Alhamdullilah
lagta hai is sawal ne mmbrs ko is darja uljha diya hai k unhune yaha ka dobara rukh hi nhi kya.......! agar aap logo main se bil farz zaati tajarba nhi bhi hai tu plz aap apne mushahidy ki roo se bhi likh sakty hain.......
meri Admin Team se guzarish hai k tareekh main thori si tosee kr di jaye.... 25 jan tk plz........ umeed hai k mmbr part lain lain ge........ agar rule k khilaf hu rha hu to beshaq band kar dain.........magar Mk tu Khaas Ul Khaas Section na .... plzzzzzzzz meri darkhast par gor farmayen.......!
aur plzzzzzz 21 ko 22 main bdlany se pehle tu mmbr ajayen yahan jaldi se plshh
asalam a lekum
welll abi tak mohabat nai huiii..pherr mai mai kuch apni obzrvtion sher karti hun
mohabat (agar sachi)hai to membooobb apni mohabat ko narazz he nai hone deta,,,dono taraff itna yakin hota hai k naraz hone k moqa nai milta...
mohabat mai rothna choti choti se baton pe hota hia,,
par wo chootii chooti baten b itnee ghhhambeer hojati hian k,,,
pherrr manana itna dushwarr k agg ka drya aboor karna ho jesee,,,,
jese tapptii dhoop mai koi saya nai..
bohat dushwar hota hia aek roothe huee mehboob ko manana..pher agar wo na manee too aesa lagta hia jinee ka koiiii faida nai...
moHabbat yaqeen o Beyaqeeni ke safar ke beeCh DolTi hai..Jo berh ker mana leta hai woh yaqeeN ka sirrah Tham leta hai...jo mannaay meIn sadiyaan laGaDey woh mohabbat nahiin HOti LagaO HOta hai..
mein ne kaha Naa !! Mohabbat Yaeen o beyaqeeni ke beech DolTi hai..
MohabbaT ko yaqeen Hota hai ke woH mehBooB ko mana ley Gi buhuT si KhatNayiyaan seh kr bhi woh mehboob ko mana Leti hai Us yaQeen ke balbootey per lekin..JaHan Beyaqeeni apneY PanJey GaR dey Ya Mohabbat Ka YaqeeN bhi mehbooB ko mooM na kr sakey wahIIn mehbooB ki AsliYat ZahiR ho jati hai PhiRR Humein yeh maan leNa chahiye k usey Mohabbat ke jazbey per uske khulOOs per aitebaar Kabhii tha hi nahiin woh beyaqeeN Raha shayaD usey Mohabbat ka Lateef Jazba usey Kabhii cHoo keR Nahiin Guzra woh tu Bas LaGaO Tha bas ik waqti laGaO...
Mishaal Ahmed
sachiidosti.CoM
Alhamdullilah
mera khyal hay k agar muhabbat sachi hay tu mananay k lyay sirf aik khoobsoorat jumla , aik chota sa tohfa ya aik gulaab ka phool hee kafi hu gaa...
rishtun mai ghalat fahmyan hu hee jati hain par agar apas mai muhabbat sachi hay tu ghalat fahmyuon ko khtam honay mai time nahi lagta ..bus kisi na kisi ko pahal krna hoti hay....bus apni anaa khtam krna hoti hay..dunu taraf sa agr anaa ka masla khara hu jaey tu mananay mai sadyan bhi lag sakti hain..
Zindagi tu apnay he qadmun pe chalti hay Faraz
Auron k Sahary tu Janazy utha kartay hain
closed