Walaikum Asalam..
saniya mein khud ki poetry sos mein share krti achi tu lagon gi na..?
ik khoyi khoyi c larki hai
Bas Pooch na paayi us SeY
kyun Khoyi khoyi rehti h0
shayad Key ab Bataye woh
apni khatta suNaye w0h
Janey kya baat hai us mein
Usey jab jab meine Socha hai
tu yaad ayaa hai mujhko
woh dheema dheema lehjaa uska
woh masbat soch ki malika
woh larki hai yaa Farishta
Ya Rab ka DIya koi t0hfa
haan sajti hai us per yeh beniyaazi
Key Rab bhii hai us seY Raazi
humesha khush raheY w0h
Is Dil Ney Usey Dua DeY Dali..!!
Walaikum Asalam..
saniya mein khud ki poetry sos mein share krti achi tu lagon gi na..?
Alhamdullilah
Mish bilkul achi nai lago gi
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!
Sheher viraan se lagtay hain
baray beabaad se lagtay hain
kya kabhi yahan
koi rehta bhi hoga?
yeh ujray ujray se makaan
ajeeb dukh ki dastaan banay
raakh ka dher se lagtay hain
kisi kay zulum ka nishaan
kisi kay jabar ka saboot
kahiin aik khandar kay konay se
sar tikaye aik burha baitha hai
batata hai woh deewana
kabhi mera bhi ghar tha yahaN
khushiyon ka mehal tha yahaN
thi zor-o-shor se tayari
yeh moqa tha eid-e-qurbaan
tab hi ho gaya sab kuch tabah
badal gaya sab samaa
fiza main cheekhein ubhri thi
meri betiyaan jhulsi thi
mera beta mara gaya
mera ghar jal gaya
ah kaise lamhey the
mera sheher ujar gaya
woh deheshatgard insaan nahiin hain
woh hain zulum kay devta
jo viraan kar gaye
mera sheher meri galiyaan
na janay kyun main hun zinda
sunanay ko yeh dastaan
hai sar quam dukh ki tasveer
magar koi ja kar unkay
garibaan nahin pakarta
koi is zulm ko nahiin rokta
koi zalim ko saza nahiiin deta
jinhonay cheen liya hum se
umar bhar ka mataa
hukumat kuch nahiin karti
faqat dekhti hai sab
aye mola kar sab ka bhala
yeh keh kay woh burha
gehri neend so gaya
fiza khamosh ho gayi
sheher viraan ho gaya
Regards:Mishaal
Alhamdullilah
closed
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!