kiya matlab barhay skol mein?
Asalam.o.Alaikum
kaye din se aik baat soch rahe thi ke sub se pochongi phir bhol jati thi..kal phir discussion hue is topic per ghar mai tu phir khayal aya ke ap sub se bhi pochon..baat yeh hia ke jo bachey barey school`s main parhte hian unka attitude he change hojata hia wo apne ap ko koi bari chez samjhne lagte hian ...or yeh maine aik nahi kaye bachon main same yeehe chez dekhi hia...kia ap ki nazar main aisa kuch guzra hai ? kiya ap ne kisi ko dekha hai ? ya suna hia ..miane tu apne ird gird yeehe dekha hia..kiya un school`s main yeh sub kha jata hia ya bacha khud aisa proudy hojta hia ke main barey school main parh raha hon..mian bht bari chez bun gaya hn...halakney bacha parhne wla ho tu her jaga parh leta hia...apn sub ki nazar main aisa kuch guzra hia tu bataye ga ...
kiya matlab barhay skol mein?
matlab jo mashor school`s hote hian O LEVEL type samjh lo.
jo CAmbriDge ke nahiin bhii hOte un meiN bhii Bara attituDe hOta hai..
Alhamdullilah
hmmmmmm nice thread Naz me ko bhi smaj ni ata ya city ya Beacon high school k bachay aisy ku ota ha
batameeze attitude to koot koot k bhara ota ha in kay bachoon ma
walikum salam!
yes api kuch bachay hotey hain aisey bohaat attitude hota jin main,pata nai kiya cheez hoti un k mind main jo un ko aisa bna daiti
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
WALAIKUM ASSALAM
han g main u ki bat se fultime agree karta hoon aisa hota hai
aur aisa q hota hai mere nazdeek iski kuch aisi wajohat hain k in schools main jo bachay parhtay hain unka tuluq b aisay he gharon say hota hai jin ka attitude he alag hote hai apne apko koi tuop chez samjhte hain wo log aur phir aisay schools main anay k bad jab mostly aisay log milte hain to phir to aur he zada nakhray kartay hain ye
baki cities ka mjhe nahi pata magar Islamabad main kafi hai ye trend aur khas tor se jo Islamabad k posh sectors hain wahan ki auntiyun ne parties banae hote hain jinko commitee kehte hain ye log
us main hota ye hai k aisay he nakhray wali aurtain har weekend pe kisi aik member k ghar ikhati hoti hain sara din wahin guzarti hain aur phir yehi attitude scene on rehta hai...
in logon ki apne sath walay ghar ki khabar tak nahi hoti k kya horha hai
hum log jab is ghar main ae the to Ammi sab muhalay wali auntiyun k ghar gaen to samnay wali aunt kisi commitee ki member the unhone sab se pehle to Ammi ko commitee main invite kya aur phir jo buraiyan start ki muhallay walon ki bas na pocho
aur in bachon ka scene ye b hota haina k ye jab atay he is tarhan ki family se hain ink gharon ka mahool he aisa hota hai to phir ink andar b wo sab kuch ata hai aur jab ye bachay aik jaga pe ikhatay hojatay hain to phr to aur he zada inhone parwan charhnay hain
dosra inko paisay ka b buhat zada hota hai k hamaray school ki fee itni zada hai baki jagaon ki nahi hoti
manay to ye chez buhat dekhi hai yahan k logon main k jab ink pas paisa ajata hai to ye sab bhol k attitude marnay pe ajatay hain
DUA...MUST READ AND MUST FORWARD
Then Which Of The Favours Of Your LORD Will You Deny?
"Be In This World As If You Were A Stranger Or A Traveler"
(Bukhari)