Originally Posted by
Assassins
WALAIKUM ASSALAM
han g main u ki bat se fultime agree karta hoon aisa hota hai
aur aisa q hota hai mere nazdeek iski kuch aisi wajohat hain k in schools main jo bachay parhtay hain unka tuluq b aisay he gharon say hota hai jin ka attitude he alag hote hai apne apko koi tuop chez samjhte hain wo log aur phir aisay schools main anay k bad jab mostly aisay log milte hain to phir to aur he zada nakhray kartay hain ye
baki cities ka mjhe nahi pata magar Islamabad main kafi hai ye trend aur khas tor se jo Islamabad k posh sectors hain wahan ki auntiyun ne parties banae hote hain jinko commitee kehte hain ye log
us main hota ye hai k aisay he nakhray wali aurtain har weekend pe kisi aik member k ghar ikhati hoti hain sara din wahin guzarti hain aur phir yehi attitude scene on rehta hai...
in logon ki apne sath walay ghar ki khabar tak nahi hoti k kya horha hai
hum log jab is ghar main ae the to Ammi sab muhalay wali auntiyun k ghar gaen to samnay wali aunt kisi commitee ki member the unhone sab se pehle to Ammi ko commitee main invite kya aur phir jo buraiyan start ki muhallay walon ki bas na pocho
aur in bachon ka scene ye b hota haina k ye jab atay he is tarhan ki family se hain ink gharon ka mahool he aisa hota hai to phir ink andar b wo sab kuch ata hai aur jab ye bachay aik jaga pe ikhatay hojatay hain to phr to aur he zada inhone parwan charhnay hain
dosra inko paisay ka b buhat zada hota hai k hamaray school ki fee itni zada hai baki jagaon ki nahi hoti
manay to ye chez buhat dekhi hai yahan k logon main k jab ink pas paisa ajata hai to ye sab bhol k attitude marnay pe ajatay hain