-
Ghazal : Manzile - Ishq
Jikra mera aur tere lab per, yaad meri aur tere dil main
Jhoonti aas dilane wale aag na bherka mere dil main.
Mujhse aankhen pher ke ye mushkil bhi aasan kerdi
Verna tere gam ke badle leta kaun basere dil mai.
Pyaar bhari ummedon per agiyaar ki wo zerposh nigahen
Kaaton ke pevand laga ker toone phool bakhere dil main.
Poonch rahi hai duniya mujhse wo herjaayi chaand kahan
Dil kahta hai gair ki bus main, main kahta hoon mere dil main.
Kaash kabhi saffak zamana mera dseena cheer ker dekhe
Chain ke badle derd ne, ab daal diye hain dere dil main.
Last edited by R. M. Dixit; 23-01-2012 at 10:55 PM.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules