Sard mousmon k dukh
Kitnay sard hotay hain
koi aah
koi faryad
koi shikwah
koi shikayat
kuch bhe tou nahin hota in mein
In mosmon k basi shajar bhe
Belibas rehtay hain
Pattay bhe na janay
Fanaa ki kin gehraiyon mein
Be awaz gir jatay hain
Phool na janay keun
Bin khilay hi
Be naam si mout mar jatay hain
Sard mosmon ki hawain
Ajeeb rang mein nooha kanan hoti hain
Jaisay kisi jawan marg pe
Kahin chupkay chupkay
Kisi konay mein anchal lapaitay
Koi ujri suhagan Hickiyon mein
siskati ho
Aisa hi aik sard mosam
To meray andar bhe rehta hai
Janay keun is qadar tanha sa lagta hai
Yadon k sab zard patay jhar chukay hain
Sard mosmon k sab dukh
Meray andar utar chukay hain
......___......