ASSALAM O ALAIKUM
main phir se aik bar u sab ki khidmat main hazir hoon aik alag se thread le kar...thread zara serous hai aur ghor karnay wali hai sanjeedgi pe mubni hai...
Maine kal is bat pe buhat ghor kiya aur phir yehi socha k is chez ko SD pe b discuss karonga
humari koi b zid ho koi b chez ho jo humain chahye ho hamaray Maan Baap wo chez pori karne klye apni har mumkin koshish karte hain k hamari bat pori hojae...wo khushi mehsoos kartay hain ye sab karne main...
wo khud takleef utha letay hain magar humain kisi kisam ki taklef nahi hone detay...har tarhan k halat ka muqabla karnay klye tyar rehtay hain...
kafi saray log Walidain k in ahsanat ko kehtay hain k ye to unka farz aur hamara haq tha magar mera nahi khayal k aisa kuch hota hai...Islam ne haqooq aur faraiz saf saf wazeh kardye hain...
ajkal har jaga pe yehi hota hai k Maan Baap ko jab aulad ki zarorat hoti hai to aulad apne he dhun main hoti hai kuch parwah nahi hoti Walidain ki...
wohi Maan jo har hal main apne bachay ko har musibat se bachati hai khud takleef uthati hai aj jab usko apni aulad ki zarorat hoti hai to aulad ka dehan he nahi hota is taraf agar wo apni zarorat ka zikar b karay to b aulad ko masla hota hai aur yehi alfaz hotay hain k Ammi kardonga / kardongi apka ye kam ap har waqt mjhe yehi kehti rehti hain...ustime ye bat humain nahi yad ati k jab bachpan main hum kisi taklef main hote the ya humain kuch chahye hota tha to hamari Maan kaise apni nend aur apna sakoon kharab kar k humain rahat deti the...aj agar humain thora sa jaldi jagna par jae ya dair se sona par jae apne Walidain klye to humain musibat lagti hai magar agar yehi sab hamaray kisi dost klye ho to humain shoq se qabol hota hai...
wohi borha Baap jisko burhapay mai apne baiton k saharay ki shadeed zarorat hoti hai jab wo burhapay ko puhnchta hai to baiton k pas time he nahi hota apne Walid klye...wo har kam klye time nikal lega magar apne Walid klye usk pas time nahi hoga...wohi Baap jisne apni khwahishat ko qurban kar k apni aulad ki khwahishat pori ki hoti hain har zid ko pora karta ho aur ye sochta ho k khair hai main agar ye chez na loon apne lye aur isk badlay mai apnay bachon klye unki marzi ki chez loon jab wohi Baap burhapay ko puhnchay aur dawa ki zarorat ho to bachon k pas time nahi hota k wo dr k pas lejain ya check up karwadain...jab k is ne apni nend ko haram kar k apne kam ki parwah na kartay hue apni aulad klye waqt nikala takay aik chheenk b na ae iski aulad ko....
khair is chez pe bat buhat lambi ki jaskti hai bas thori si kafi hai is thread ka maqsad samjhanay klye...k aj hum kahan hain...hamara apnay Walidain k sath kaisa salook hai...
abi hum main se kitne he log aise hain jinki shadiyan nahi hue jink bachay nahi hai abi hum Walidain wali batoon ko nahi samjhte...magar jab hum khud is stage pe hongay to shaid samjh sakain...
meri is thread ka asal maqsad yehi hai k hum apni zindagiyun pe ghor karian aur is chez ka khud ahtisab karian k hamara rawaya apnay Parents k sath kaisa hai...
wo hamari har zarorat pori kartay hain humain achi se achi taleem detay hain apna time detay hain pora ka pora humain acha libas detay hain hamari fikar kartay hain...har hisab se hamari behtareen tarbiat kartay hain...hamaray har gham ko apna gham samjhtay hamari har khushi ko mazeed barhatay....hamari choti choti khushiyan pori karnay klye apni bari bari khushiyun ko qurban kartay.....
aj hamaray pas time nahi hota k hum apnay Maan Baap k pas bethain...aj humsay unki naseehatain bardasht nahi hoti agar wo 2 min lambi bat karlen to humain unki batian chubhnay lagti hain...zara si hamari marzi k khilaf bat ho hum naraz ho kar beth jatay hain
khair jo b bat hai wo sab hum jantay he hain...
is thread ka maqsad sirf ye nahi hai k aik dosre se is chez pe discuss kya jae balkay asal maqsad jo hai wo yeh hai k hum apne gharon main apne Walidain k sath achay tareqay se rahain...unko time dain zada se zada q k unko hamari zarorat hai...abi humain is chez ka ahsas nahi hota magar jin k saron pe Walidain ka saya nahi hota unsay qadar pata chalti hai...aj hamaray pas ye sab hai to humain is qadar karni chahye hai unki khidmat kar k unki Duain leni chahye hain
aj hamaray rawayay hamaray salook kaisay hain hamaray Maan Baap k sath wo hum se behtar koi nahi janta...meri sab se yehi request hai k sab apne Walidain ki ahmiat ko samjhen k wo hamaray lye kis qadar qeemti hain...
is time unhen hamari zarorat hai...unhone humain palnay mai apni sare efforts lagadye ab hamari bari hai unki khidmat kar k unsay Duain lenay ki...
is thread ko laganay ka hargiz maqsad ye nahi tha k meri thread count barh jae ya phir sirf is main replies ain
iska asal maqsad yehi hai k hum apni zimedariyun ko samjhen aur Maan Baap k haqooq jo hum par farz hain wo hum unko zaror dain...unse aram se tamez se pyar se bat karain...
is chez pe ghor karna b kafi asan hai sirf un chezon pe ghor karay agar insan k hamari kya kya zid aur khwahishat pori hue hain bachpan se aj tak aur usk Walidain ne kaise apni bat ko necha kar k uski bat ko oncha kya aur kya kya qurbani di to usko buhat he aram se sab samjh ajaega...
sab logon se meri dil ki gehraiyun se request hai k apne Maan Baap ki ahmiat ko samjhen aur unk sath husne salook karain...