Ham par tumhari chaah kaa ilzaam hi to hai
Dushnaam to nahin hai ye ikaraam hii to hai
Kartay hain jis pe taa'n, koi jurm to nahin
Shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hii to hai
Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai
Ae jaan-e-jaan ye harf teraa naam hi to hai
Dil naa-ummiid to nahin, na-kaam hi to hai
Lambi hai Gam kii shaam, magar shaam hi to hai
Dast-e-falak mein, gardish-e-taqadir to nahin
Dast-e-falak mein, gardish-e-ayyaam hi to hai
Akhir to ek roz karegii nazar wafaa
Wo yaar-e-Khush khasaal sar-e-baam hi to hai
Bheegi hai raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai,