Originally Posted by
shaikh_samee
Assalam alaykum
Agar koi ise Bidat kahe to main un se ye puchna chahta hoon ke kya wo apni zindagi Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam ke sunnat ke mutabik aur sahaba ikram ke sunnat ke mutabik guzar rahe hai ?
Shayad unka jawab nahi hoga, kyonke aaj hum jo bhi zindagi basar kar rahe hai wo sari ki sari bidat me hi guzar rahe hai. maslan hum jo aaj Quran sharif padh rahe hai kya wo Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam ke zamane jaisa hai ? aur aaj jo hum khana kha rahe hai jaise ke "Biryani wagairah kya ye bidat nahi. Aaj jo masjidein 3-4 floor ki tamir ki ja rahi hai kya ye bidat nahi? Masjidon me Azan aur Namaz speaker me padhna kya ye bidat nahi ? Hum jis tarike ke kapde (cloths), shoes pahan rahe hai kya ye bidat nahi ? Aaj hum Car, Motorcycle, plane se safar kar rahe hai kya ye bidat nahi ?
Bidat ki list kafi lambi hai. Aap khud apne aap me zhank ke dekhe phir doosron ko nasihat de. Hum to alhamdu Lillah Milad sharif manate hai aur kal bhi Insha Allah Taala manayenge.
Allah Taala apne Pyare Nabi Sallalahu Alaihi Wasallam ke tufail me Hum sab ko sahi raste par chalne ki taufik de aur gumrah hone se hume bachaye.- Aamin
.