Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay
Ham ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisay
Wo shakhs to yaklakht hi haT jata tha peechHay
Ham TooT ke qadmoN maiN bikhartay bhi to kaisay
Ilzaam ye aata ke tujhay bhool gaye thay
Aye dost! tujhay yaad jo kartay bhi to kaisay
Kia khaak muqaddar se koyee ham ko gila ho
BigRoN ke muqaddar thay, saNwartay bhi to kaisay
Mehroom hi rehtay jo tere radd-e-amal say
Aye jaan! tere pyaar maiN martay bhi to kaisay
Jeevan hi guzara tha thapaiRoN maiN jo ham nay
Ham ab kisi toofaan se Dartay bhi to kaisay
Ek paaki-e-damaaN pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat maiN utartay bhi to kaisay
Har roz ki zillat bhi gawara to nahiN thi
Us raah se ham roz guzartay bhi to kaisay
Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahiN daiti
Dunya! tera tawaan jo bhartay bhi to kaisay
Bach kar na nikal paaye Saraab ishq se un kay
Dooba tha samandar maiN, ubhartay bhi to kaisay.