Page 5 of 5 FirstFirst ... 345
Results 41 to 45 of 45

Thread: Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

  1. #1
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    candel Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

    Zamee’n pe Murdey



    Baaz Chehroo’n Main Allah Itni Kashish Rakhta Hey K Lakh Koshish Kro K Na Daikhain Ye Sahi Nahi Mager Nigah Khud Ba Khud Uth Hi Jati Hey, Wo Bhi Aisi Hi Thi Sub Se Alag, Khoobsurat Aur Ek Dum Munfarid,Abhi Main Us K Seher Main Gum Hi Tha K Kisi Ne Is Zor Se Koni Mairi Pasliyoo’n Ma Mari K Mairi Cheekh Hi Nakal Gai,Be Ikhtiyar Main Ne Ghussey Se Braber Main Daikha Mairi Class Fellow Kiran Khari Thi Boli Insan Bano Ziyadha Na Ghooro Usey Kyoo’n Khawateen Se Mar Khaney Petuley Ho,Mai'n Ne Pocha Kon Hey Wo Pari Paiker ,Wo Boli Mariam Hey Us Ka Naam Aaj Kal Haqooq-E-Niswa’n K Hawaley Se Is Ka Buhat Naam Hey Aur Jo Khawateen Ka Izhdiham Tum Daikh Raho Ho Na Ye Usey Hi Sunney Aaye Hain

    Abhi Hum Guftago Main Masroof Hi They K Wo Mike Pe Aagai Us Ki Awaz Bhi Us Ki Trha Khobsurat Thi Ya Phir Mujhey Hi Us Ki Her Ada Bha Rahi Thi Main Kuch Yaqee’n Se Keh Nahi Sakta Aaiye Aap Ko Bhi Sunatey Hain Wo Kia Keh Rahi Hey
    Wo Keh Rahi Hey ” Yaha’n Bari Bari Tanzimai’n Hain Aur Ek Se Ek Khawateen Hain Jo Khawateen Ki Aazadi K Liye Sergarm Hain Mager Taqreeroo’n Aur Tasveeroo’n Aur Hamari Mazlomiyet,Bebasi Aur Bekasi Dunya Ko Dekha K Apni NGO K Liye Imdad Lainey Se Ziyadha Nahi Kia Kisi K Pas Ye Data Mojod Hey K Sale—Guzishta Main Kitni Khawateen Ney Baivgi Ki Chader Orh Li Kitney Bachey Yateem Huwey,Tras Khaney Aur Izzat Dainey Main Farq Hota Hey Hum Tu Wo Hain Jin Pey Jib Bhi Is Muashrey Main Kisi Ney Nigah Dali Tu Ya Tu Hawis Ki Dali Ya Taras Ki Dali,Hum Khatey Hain,Peetey Hain,Boltey Chaltey Hain Mager Hum Zindha Nahi Hum “Zami’n Pe Murdey” Ki Trha Hain Jis K Barey Main Log Jald Hi Bhool Jatey Hain,

    Hamri Maa Benai’n Jub Apney Baitoo’n Aur Bhaiyoo’n K Liye Rishtey Dhondney Nikalti Hain Tu Wo Kabhi Kisi Baiva Ko Nahi Daikhti’n Chahey Wo Kitni Hi Khobsurat,Ba Ikhlaq Aur Ba Salahiyet Kyoo’n Na Ho Us K Oper Zindagi Tamam Khushya’n Haram Ho Jati Hain Kia” Us Ki Awaz Bherra Gai Hey,Aur Wo Khamoosh Ho Gai Hey Shayed Apni Aankhoon Main Aaney Waley Aansoo’n Ko Peeney Ki Koshish Ker Rahi Hey, Us Ney Chock Ki Taraf Ishara Kertey Huwey Kaha” Haa’n Yehi Wo Jagha Hey Jaha’n Aaj Se Do Sal Qabl Maira Shoher Kisi Injani Goli Ka Shikar Huwa Usey Tu Ye Bhi Nahi Pata Tha K Usey Kyoo’n Mara Gaya Wo Tu Mairi Liye Gajrey Lainey Nikla Tha K Usey Gulab K Pholoo’n K Gajrey Mairey Hathoo’n Main Buhat Achey Lagtey They,

    Main Wo Lamha Kabhi Faramosh Nahi Ker Sakti Jub Main Ney Gher K Darwazey Pey Usey Hathoo’n Main Surkh Gulab K Gajroo’n Ki Jagha Kuch Logoo’n K Hathoo’n Main Khoon Se Surkh Kaproo’n Main Us Ki Lash Daikhi Aur Phir Us Din Se Mairi Tamam Khushya’n Khatem Ho Gai’n Aisi Main Akaili Nahi Aisi Khawateen Hum Her Saal Hazaroo’n Ki Tadad Main Taiyar Kertey Hain,In Dehshat Gerdoon Ki Samajh Main Ye Kyoo’n Nahi Aata K Is Firing Ki Zed Main Un Ki Apni Maa’n Aur Behan Ka Suhag Bhi Tu Aasakta Hey Aur Phir Un Se Barey Dehshat Gerd Tu Hamarey Itraf K Log Hotey Hain Wo Dehshat Gerd Tu Hamin Sirf Ek Bar Martey Hain Mager Ye Hain Ta Zindagi Martey Hai’n Kisi Ko Hamari Khushi Ka Koi Khyal Nahi Hota Kisi Ko Na Hamari Aahai’n Sunai Daiti Hain Na Hamri Rohoo’n Ki Chikhain Mujhey Is Muashrey Se Koi Umeed Nahi Mager Main Apney Rab Se Na Umeed Nahi Wo Hamarey Liye Wo Tulo-E Seher Zaror Laye Ga Hum Jis K Intizar Main Hain.”

    Wo Chali Gai Main Jo Us Ki Taqreer Sey Pehley Us K Husn K Seher Main Griftar Tha Ye Jan K K Wo Ek Baiva Hey Ab Is Seher Se Baher Aa Chukka Tha K Aakhir Main Bhi Tu Aap Logoo’n Main Se Hi Ek Hoo’n Koi Juda Tu Nahi.

    Premiums Politics Juniors Platform This Post Bridal Sets Media Player Bookmark
    زمیں پھ مردے



    بعض چہرو Úº میں الله اتنی کشش رکھتا ہے Ú© لاکھ کوشش کرو Ú© نہ دیکھیں یہ سہی نہیں مگر نگاہ خود با خود اٹھ ہی جاتی ہے , وہ بھی ایسی ہی تھی سب سے الگ , خوبصورت اور ایک دم منفرد ,ابھی میں اس Ú©Û’ سØ+ر میں Ú¯Ù… ہی تھا Ú© کسی Ù†Û’ اس زور سے کوہنی میری پسلیوں میں ماری Ú©Û’ میری چیخ ہی Ù†Ú©Ù„ گئی ,بے اختیار میں Ù†Û’ غصّے سے برابر میں دیکھا میری کلاس فیلّو کرن Ú©Ú¾Ú‘ÛŒ تھی بولی انسان بنو زیادھ نہ گھورو اسے کیوں خواتین سے مار کھانے Ù¾Û’ تلے ہو ,میں Ù†Û’ پوچھا کون ہے وہ پری پیکر , وہ بولی مریم ہے اس کا نام آج Ú©Ù„ Ø+قوق نسواں Ú©Û’ Ø+والے سے اس کا بہت نام ہے اور جو خواتین کا مجمع تم دیکھ رہے ہو نہ یہ اسے ہی سننے آئ ہیں


    ابھی ہم گفتگو میں مصروف ہی تھے ک وہ مائک پے آگئی اس کی آواز بھی اس کی ترہا خوبصورت تھی یا پھر مجھے ہی اس کی ہر ادا بھارہی تھی میں کچھ یقیں سے که نہیں سکتا آئیے آپ کو بھی سناتے ہیں وہ کیا که رہی ہے


    وہ که رہی ہے ” یہاں بڑی بڑی تنظیمیں ہیں اور ایک سے ایک خواتین ہیں جو خواتین کی آزادی کے لئے
    سرگرم ہیں مگر تقریروں اور تصویروں اور ہماری مظلومیت ,بےبسی اور بیکسی دنیا کو دیکھا کے امداد لینے سے زیادھ نہیں کیا کسی ک پاس یہ ڈاٹا موجود ہے کے سال گزشتہ میں کتنی خواتین نے بیوگی کی چادر اوڑھ لی کتنے بچے یتیم ہوے ,ترس کھانے اور عزت دینے میں فرق ہوتا ہے ہم تو وہ ہیں جن پے جب بھی اس معاشرے میں کسی نے نگاہ ڈالی تو یا تو ہوس کی ڈالی یا ترس کی ڈالی ,ہم کھاتے ہیں ,پیتے ہیں ,بولتے چالتے ہیں مگر ہم زندھ نہیں ہم “زمیں پے مردے ” کی ترھا ہیں جس کے بارے میں لوگ جلد ہی بھول جاتے ہیں ,


    ہماری ماں بہنیں جب اپنے بیٹوں اور بھائیوں Ú©Û’ لئے رشتے ڈھونڈنے نکلتی ہیں تو وہ کبھی کسی بیوہ Ú©Ùˆ نہیں دیکھتیں چاہے وہ کتنی ہی خوبصورت ,بااخلاق اور باصلاØ+یت کیوں نہ ہو اس Ú©Û’ اوپر زندگی Ú©ÛŒ تمام خوشیاں Ø+رام ہوجاتی ہیں کیا؟ ” اس Ú©ÛŒ آواز بھرا گئی ہے ,اور وہ خاموش ہو گئی ہے شاید اپنی آنکھوں میں آنے والے آنسووں Ú©Ùˆ پینے Ú©ÛŒ کوشش کر رہی ہے , اس Ù†Û’ Ú†ÙˆÚ© Ú©ÛŒ طرف اشارہ کرتے ہوے کہا ” ہاں یہی وہ جگہ ہے جہاں آج سے دو سال قبل میرا شوھر کسی انجانی گولی کا شکار ہوا اسے تو یہ بھی نہیں پتہ تھا کہ اسے کیوں مارا گیا وہ تو میرے لئے گجرے لینے نکلا تھا Ú©Ù‡ اسے گلاب Ú©Ù‡ پھولوں Ú©Û’ گجرے میرے ہاتھوں میں بہت اچھے لگتے تھے ,

    میں وہ لمØ+ہ کبھی فراموش نہیں کرسکتی جب میں Ù†Û’ گھر Ú©Û’ دروازے Ù¾ÛŒ اسے ہاتھوں میں سرخ گلاب Ú©Û’ گجروں Ú©ÛŒ جگہ Ú©Ú†Ú¾ لوگوں Ú©Û’ ہاتھوں میں خون سے سرخ Ú©Ù¾Ú‘ÙˆÚº میں اس Ú©ÛŒ لاش دیکھی اور پھر اس دن سے میری تمام خوشیاں ختم ہوگیں ایسی میں اکیلی نہیں ایسی خواتین ہم ہر سال ہزاروں Ú©ÛŒ تعداد میں تیار کرتے ہیں ,ان دہشت گردوں Ú©ÛŒ سمجھ میں یہ کیوں نہیں آتا Ú©Û’ اس فائرنگ Ú©ÛŒ زد میں ان Ú©ÛŒ اپنی ماں اور بہن کا سہاگ بھی تو آسکتا ہے اور پھر ان سے بڑے دہشت گرد تو ہمارے اطراف Ú©Û’ لوگ ہوتے ہیں وہ دہشت گرد تو ہمیں صرف ایک بار مارتے ہیں مگر یہ ہمیں تا زندگی مارتے ہیں کسی Ú©Ùˆ ہماری خوشی کا کوئی خیال نہیں ہوتا کسی Ú©Ùˆ نہ ہماری آہیں سنائی دیتی ہیں نہ ہماری روØ+ÙˆÚº Ú©ÛŒ چیخیں مجھے اس معاشرے سے کوئی امید نہیں مگر میں اپنے رب سے ناامید نہیں وہ ہمارے لئے وہ طلوع سØ+ر ضرور لاے گا ہم جس Ú©Û’ انتظار میں ہیں .”

    وہ Ú†Ù„ÛŒ گئی میں جو اس Ú©ÛŒ تقریر سے پہلے اس Ú©Û’ Ø+سن Ú© سØ+ر میں گرفتار تھا یہ جان کر کہ وہ ایک بیوہ ہے اب اس سØ+ر سے باھر آچکا تھا Ú©Ù‡ آخر میں بھی تو آپ لوگوں میں سے ہی ایک ہوں کوئی جدا تو نہیں

  2. #41
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

    Quote Originally Posted by syed sohail akhter View Post
    Mishaal mairi behen mai'n tumhari taqreeban tamam hi batoo'n se mut'tafiq hoo'n laikin puri terha nahi, mazhab se dori bhi is ki ek wajha nahi bel keh mazhab se dori hi iski wajha hey, tum ney bilkul sahi kaha Quran ek mukam'mel zabita-e-hayat hey aur mujhey ye jan ker buhat khushi hui k tum terjumey aur tafseer k sath Quran perhti ho allah kareem hub sub ko roz Quran perhney,samajhney,us per amal kerney aur uski logoo'n ko Dawat dainey ki tofique ata fermaye,Allah tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen

    Ji Corrrection ker deti hon Mazhab se doori hi iski waja hai...


    Ameen Sum Ameen...
    Alhamdullilah

  3. #42
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    Default Re: Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

    Quote Originally Posted by ๓เรђคคl View Post


    Ji Corrrection ker deti hon Mazhab se doori hi iski waja hai...


    Ameen Sum Ameen...

    Thanks Mishaal
    khush raho
    Ameen


    ​sigpic3181 5 - Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

  4. #43
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

    Quote Originally Posted by syed sohail akhter View Post

    Thanks Mishaal
    khush raho
    Ameen
    My pleasure..

    Ameen Sum Ameen
    Alhamdullilah

  5. #44
    *jamshed*'s Avatar
    *jamshed* is offline کچھ یادیں ،کچھ باتیں
    Join Date
    Oct 2010
    Location
    every heart
    Posts
    14,585
    Mentioned
    138 Post(s)
    Tagged
    8346 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

    beautiful 018 - Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

  6. #45
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    Default Re: Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

    Quote Originally Posted by jam786 View Post
    beautiful 018 - Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

    Buhat shukria Jam
    khush raho
    Ameen


    ​sigpic3181 5 - Zamee’n pe Murdey / زمیں پھ مردے

Page 5 of 5 FirstFirst ... 345

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •