Results 1 to 3 of 3

Thread: Umera Ahmed kay novel ''Peer-e-Kamil'' se iqtibas

  1. #1
    Join Date
    Aug 2011
    Location
    SomeOne H3@rT
    Age
    38
    Posts
    2,345
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    825 Thread(s)
    Rep Power
    429514

    cute Umera Ahmed kay novel ''Peer-e-Kamil'' se iqtibas

    Umera Ahmed kay novel ''Peer-e-Kamil'' se iqtibas

    "What comes next to ecstasy?" uss ney gerdun more key Imama sey poocha. woh kuch dair ussey dekhti rahi, phir uss ney madham awaz main kaha- "Pain"
    "And what comes next to pain?" Salaar ney bila-tawquf sawal kiya- "Nothingness"
    "What is next to nothingness?" Salaar ney ussi andaz mein sawal kiya - "Jahannum" Imama ney kaha
    "And what is next to Jahannum?" iss baar Imama khamoshi sey uss ka chehra dekhti rahi. "What is next to Jahannum?" Salaar ney apna sawal dohraya
    "tumhey khouf nahi aata-" Salaar ney Imama ko kadre ajeeb andaaz sey poochtey suna. "Kis Cheeze sey": Salaar hairaan hoa
    "Jahannum sey.... uss jaga sey jis key agey aur kuch bhi nahi hota...sub kuch uss key peechey reh jata hai... maatoob aur makhzoob ho janey key baad baqi kia bajta hai jissey jananey ka tumhey tajasus hai"- Imama ney qadre ufsoos sey kaha
    "Mein tumhari baat samjh nahi saka.... sub kuch merey upar sey guzra hai" Salaar ney jaisey ailaan kerney wale undaaz mein kaha.

    "fikr maat karo.... aa jaye gi.... aik waqat aye ga.... jub tumhey her cheeze samjh mein aa jaye gi, phir tumhari hansi khatam ho jaye gi.... tub tumhey kauf aaney lagey ga... Maut sey bhi or doozaq sey bhi... Allah tumhey sub kuch dekha aur bata dey ga... phir tum kisi sey nahi poocha karo gey. "What is next to ecstasy?" Imama ney bohat rasaniat sey kaha.
    Last edited by Hidden words; 07-08-2012 at 12:43 AM.

  2. #2
    Join Date
    Jun 2010
    Location
    Jatoi
    Posts
    59,925
    Mentioned
    201 Post(s)
    Tagged
    9827 Thread(s)
    Rep Power
    21474910

    Default Re: Umera Ahmed kay novel ''Peer-e-Kamil'' se iqtibas

    Umdaa janabb

    and keep shariinggg





    تیری انگلیاں میرے جسم میںیونہی لمس بن کے گڑی رہیں
    کف کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے نہ اتارنا

  3. #3
    Join Date
    Aug 2011
    Location
    SomeOne H3@rT
    Age
    38
    Posts
    2,345
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    825 Thread(s)
    Rep Power
    429514

    Default Re: Umera Ahmed kay novel ''Peer-e-Kamil'' se iqtibas

    thanku - Umera Ahmed kay novel ''Peer-e-Kamil'' se iqtibas

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •