Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 12

Thread: Dil Badel De

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    candel Dil Badel De

    Assalam-o-Alaikum


    Hum ajeeb log hai'n buhat jeld aur sirf zahir se kisi ko bina perkhey us k achey ya bura honey ki sanad jari kerdaitey hai'n ho sakta hey buhat se logoo'n ko is se it'tifaq na ho,laikin ek baat zaroor hey k mai'n ne jo kuch apney itraf mai'n daikha usey hi likhney aur aap sub se roshanas karaney ki koshish ki hey ager koi kami reh gai ho tu derguzer fermaye ga.



    Dil Badel De





    Koi usey maghror kehta tha tu koi ghumandi, mager mai’n ney usey kabhi palat k jawab daitey nahi daikha,us ney kabhi kisi ki baat ko aehmiyet nahi di, ya tu wo buhat behis tha ya phir us ki nazar mai’n ye batai’n karney waloo’n ki koi aehmiyet hi nahi thi, paisa us k pas be hisab tha aur wo usey be draigh kharch bhi kerta tha Eid ya jummey ki namazoo’n mai’n masjid mai’n nazer aajata,mukhtaser ye k na tu wo aam logoo’n ki hi nazer mai’n koi acha insan tha aur na hi hamari nazer mai’n k jo nihayet pabandi se pancoo’n waqt masjid mai’n nazer aatey aur rozoo’n ka pura aetimam kertey hai’n,hamari nazer mai’n tu wo ek be rah ro shakhs tha, k hum islam k thaikeydar jo hai’n,mager idher kuch dinoo’n se mai’n ney us k chehrey pe ek ajeeb sa kerb mehsoos kia aur phir wo ek dam ghaib ho gaya, aur phir ek roz Asr ki namaz k baad mai’n masjid mai’n baitha apney mamolaat mai’n mashghool tha k kisi ki siskiyoo’n ne mujhey apni taraf mutawajhey ker liya, malgajey se kaproo’n mai’n malbos koi shakhs tha jo sajdey mai’n para Allah k ro ba ro gir gira raha tha aur phir us ki awaz aahista aahista buland honi shoro ho gai aisey jaisey usey is ka aehsas hi na raha ho k aas pas koi mojood bhi hey aur wo jo kuch keh raha hey usey sun ker mairi aankhai’n se bhi aansoo rawa’n ho gaye hai’n mai’n haira’n hoo’n k koi Allah ko aisey beqarar ho k bhi pukar sakta hey, aaiye aap bhi sunye wo kia keh raha hey,

    ”ya Allah mujhey muaf kerdey,mujhey bakhsh dey mairey mola tu ne mujhey itna dia k mai’n us ka shumar nahi ker sakta mager mai’n na shukra thera, mairey Malik mujhey is karb se nijat dey mai’n kuch khaney baithta hoo’n tu hamarey ird gird bastey logoo’n aur be bus bachoo’n k chehrey mairi aankhoo’n k samney aajatey hai’n jinhai’n pait bher ker ek waqt ka khana bhi naseeb nahi aur niwaley mairey halaq mai’n atak jatey hai’n,mujhey apney qimti gram kaproo’n mai’n shdeed sardi mehsoos hoti hey k na janey kinti zindagiyaa’n thand ki nazer ho jati hai’n, Mehngey tareen jotey pehn’ney k bawajood mairey paoo’n zakham zakham hai’n k yaha’n kitney hi bandey nangey paoo’n ghomtey hai’n aur mairey chehrey per shikan tek nahi aati,Maire Allah jub mai’n kisi bachey ko us ki man pasand cheez ki janib hasret bhari nazer se daikhtey pata hoo’n tu us ki ye nazer mairey dil ko cheer dalti hey aur us k baap ki babasi k wo apney bachey ki ek choti si khwahish bhi puri nahi ker sakta mairey dil ko raiza raiza ker daiti hey,Ya Allah,aay mairey Malik,aay mairey palney waley aap k jis k qabzey mai’n mairi jan hey k aap k ikhtiyar mai’n sub k dil hai’n Dil badal dey k mai'n akyla kuch bhi nahi ker sakta, sub ko is kerb se aashna kerdey jis sey mai’n guzer raha hoo’n dil badel de mairey Allah dil badel De”

    Aur phir us ney Dil Badel De ya Allah ki takrar shoro kerdi aur mai’n jis ki aankhoo’n se aansoo buhat rawani se jari they mujhey pata hi na chala k kab be ikhtiyar mairey laboo’n se bhi ye hi nikalney laga k Dil Badel De ya Allah, Aap yaqinan jan’na chahtey hoo’n ge k wo shakhs kon that u wo wohi insan tha jisey hum sub bura insan samajhtey they aaj mai’n apni hi nazroo’n mai’n gir gaya tha k wo kia tha aur hum ne usey kia samjha,mai’n masjid se bahir nikla tu dunya bari badli badli si mehsoos hui her ek apney se behter mehsoos hua her insan se muhabbet mehsoos hui hala’n k dunia bhi wohi thi aur log bhi wohi sirf soch aur daikhney ka zaviya badal gatya tha aur dosroo’n ki zaroriyaat apni zaroriyat se ziyadha aehem mehsoos honey lagi thi’n shayed ye aaghaz tha Dil badelney ka.
    Last edited by Lost Passenger; 23-02-2012 at 10:24 PM.


    ​sigpic3181 5 - Dil Badel De

  2. #2
    *jamshed*'s Avatar
    *jamshed* is offline کچھ یادیں ،کچھ باتیں
    Join Date
    Oct 2010
    Location
    every heart
    Posts
    14,585
    Mentioned
    138 Post(s)
    Tagged
    8346 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: Dil Badel De

    50494 234553773336 4321030 n - Dil Badel De

  3. #3
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    Default Re: Dil Badel De

    Quote Originally Posted by jam786 View Post
    50494 234553773336 4321030 n - Dil Badel De

    Buhat shukria
    khush raho
    Ameen


    ​sigpic3181 5 - Dil Badel De

  4. #4
    Join Date
    May 2010
    Location
    Karachi
    Age
    29
    Posts
    25,472
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6815 Thread(s)
    Rep Power
    21474876

    Default Re: Dil Badel De

    khoob
    tumblr na75iuW2tl1rkm3u0o1 500 - Dil Badel De

    Hum kya hain

    Hmari Muhabatayn kya hain
    kya chahtay hain
    kya patay hain..

    -Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)


  5. #5
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    Default Re: Dil Badel De

    Quote Originally Posted by Raniii View Post
    khoob

    Shukria Raniii
    khush raho
    Ameen


    ​sigpic3181 5 - Dil Badel De

  6. #6
    Join Date
    Sep 2010
    Location
    Mystic falls
    Age
    36
    Posts
    52,044
    Mentioned
    326 Post(s)
    Tagged
    10829 Thread(s)
    Rep Power
    21474903

    Default Re: Dil Badel De

    shayed ye aaghaz tha Dil badelney ka.
    bohat acha likha hai ap ne
    keep writing

    eq2hdk - Dil Badel De

  7. #7
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    Default Re: Dil Badel De

    Quote Originally Posted by Vampire View Post
    shayed ye aaghaz tha Dil badelney ka.
    bohat acha likha hai ap ne
    keep writing

    Tum ney perha aur comments kiye
    buhat shukria Vampire
    khush raho
    Ameen


    ​sigpic3181 5 - Dil Badel De

  8. #8
    Join Date
    Aug 2011
    Location
    SomeOne H3@rT
    Age
    38
    Posts
    2,345
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    825 Thread(s)
    Rep Power
    429514

    Default Re: Dil Badel De

    bht khoob

  9. #9
    Join Date
    Nov 2011
    Location
    Sahiwal
    Posts
    288
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    9 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Dil Badel De

    صرف ایک لفظ
    ماشاءاللہ


  10. #10
    Join Date
    Jan 2012
    Location
    Kallar Syedan
    Age
    36
    Posts
    1,928
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: Dil Badel De

    وعلیکم السلام

    بہت عمدہ۔۔
    شئیرنگ

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •