Assalam-o-Alaikum
Hum ajeeb log hai'n buhat jeld aur sirf zahir se kisi ko bina perkhey us k achey ya bura honey ki sanad jari kerdaitey hai'n ho sakta hey buhat se logoo'n ko is se it'tifaq na ho,laikin ek baat zaroor hey k mai'n ne jo kuch apney itraf mai'n daikha usey hi likhney aur aap sub se roshanas karaney ki koshish ki hey ager koi kami reh gai ho tu derguzer fermaye ga.
Dil Badel De
Koi usey maghror kehta tha tu koi ghumandi, mager mai’n ney usey kabhi palat k jawab daitey nahi daikha,us ney kabhi kisi ki baat ko aehmiyet nahi di, ya tu wo buhat behis tha ya phir us ki nazar mai’n ye batai’n karney waloo’n ki koi aehmiyet hi nahi thi, paisa us k pas be hisab tha aur wo usey be draigh kharch bhi kerta tha Eid ya jummey ki namazoo’n mai’n masjid mai’n nazer aajata,mukhtaser ye k na tu wo aam logoo’n ki hi nazer mai’n koi acha insan tha aur na hi hamari nazer mai’n k jo nihayet pabandi se pancoo’n waqt masjid mai’n nazer aatey aur rozoo’n ka pura aetimam kertey hai’n,hamari nazer mai’n tu wo ek be rah ro shakhs tha, k hum islam k thaikeydar jo hai’n,mager idher kuch dinoo’n se mai’n ney us k chehrey pe ek ajeeb sa kerb mehsoos kia aur phir wo ek dam ghaib ho gaya, aur phir ek roz Asr ki namaz k baad mai’n masjid mai’n baitha apney mamolaat mai’n mashghool tha k kisi ki siskiyoo’n ne mujhey apni taraf mutawajhey ker liya, malgajey se kaproo’n mai’n malbos koi shakhs tha jo sajdey mai’n para Allah k ro ba ro gir gira raha tha aur phir us ki awaz aahista aahista buland honi shoro ho gai aisey jaisey usey is ka aehsas hi na raha ho k aas pas koi mojood bhi hey aur wo jo kuch keh raha hey usey sun ker mairi aankhai’n se bhi aansoo rawa’n ho gaye hai’n mai’n haira’n hoo’n k koi Allah ko aisey beqarar ho k bhi pukar sakta hey, aaiye aap bhi sunye wo kia keh raha hey,
â€ya Allah mujhey muaf kerdey,mujhey bakhsh dey mairey mola tu ne mujhey itna dia k mai’n us ka shumar nahi ker sakta mager mai’n na shukra thera, mairey Malik mujhey is karb se nijat dey mai’n kuch khaney baithta hoo’n tu hamarey ird gird bastey logoo’n aur be bus bachoo’n k chehrey mairi aankhoo’n k samney aajatey hai’n jinhai’n pait bher ker ek waqt ka khana bhi naseeb nahi aur niwaley mairey halaq mai’n atak jatey hai’n,mujhey apney qimti gram kaproo’n mai’n shdeed sardi mehsoos hoti hey k na janey kinti zindagiyaa’n thand ki nazer ho jati hai’n, Mehngey tareen jotey pehn’ney k bawajood mairey paoo’n zakham zakham hai’n k yaha’n kitney hi bandey nangey paoo’n ghomtey hai’n aur mairey chehrey per shikan tek nahi aati,Maire Allah jub mai’n kisi bachey ko us ki man pasand cheez ki janib hasret bhari nazer se daikhtey pata hoo’n tu us ki ye nazer mairey dil ko cheer dalti hey aur us k baap ki babasi k wo apney bachey ki ek choti si khwahish bhi puri nahi ker sakta mairey dil ko raiza raiza ker daiti hey,Ya Allah,aay mairey Malik,aay mairey palney waley aap k jis k qabzey mai’n mairi jan hey k aap k ikhtiyar mai’n sub k dil hai’n Dil badal dey k mai'n akyla kuch bhi nahi ker sakta, sub ko is kerb se aashna kerdey jis sey mai’n guzer raha hoo’n dil badel de mairey Allah dil badel Deâ€
Aur phir us ney Dil Badel De ya Allah ki takrar shoro kerdi aur mai’n jis ki aankhoo’n se aansoo buhat rawani se jari they mujhey pata hi na chala k kab be ikhtiyar mairey laboo’n se bhi ye hi nikalney laga k Dil Badel De ya Allah, Aap yaqinan jan’na chahtey hoo’n ge k wo shakhs kon that u wo wohi insan tha jisey hum sub bura insan samajhtey they aaj mai’n apni hi nazroo’n mai’n gir gaya tha k wo kia tha aur hum ne usey kia samjha,mai’n masjid se bahir nikla tu dunya bari badli badli si mehsoos hui her ek apney se behter mehsoos hua her insan se muhabbet mehsoos hui hala’n k dunia bhi wohi thi aur log bhi wohi sirf soch aur daikhney ka zaviya badal gatya tha aur dosroo’n ki zaroriyaat apni zaroriyat se ziyadha aehem mehsoos honey lagi thi’n shayed ye aaghaz tha Dil badelney ka.