Bachpan ke dukh kitnay achay hotay thay
wah wah
keep sharing
Bachpan ke dukh kitnay achay hotay thay,
Tab to sirf khilonay toota kartay thay,
Wo khushian bhi jane kaisi khushian theen,
Titlee k parr noch kar uchala kartay thay,
Chotay thay to Makr-o-faraib bhi chotay thay,
Daana daal kar chirrian pakra kartay thay,
Paon maar k barish k pani main,
Apni nao aap daboyya kartay thay,
Apnay jal janay ka bhi ehsas na tha,
Jaltay hoay sholon ko chera kartay thay,
Ab to ik aansoo bhi ruswa kar daita hai,
Bachpan main jee bhar k roya kartay thay
Bachpan ke dukh kitnay achay hotay thay
wah wah
keep sharing
Bachpan ke dukh kitnay achay hotay thay
wah wah
keep sharing