Dekhain jee hamen jahez ka lalch nahi Allah ka dia hamaray pass sab kuch hai bas hamen to sunat k mutabiq shadi krni hai hum to sab ghar walay deen per chalnay walay hain bas aap to hamen apni beti de dain saba bhi sar jhukaye bethi ye sab sun rhi thi.. haye Allah kitnay achay susral walay hain mere ... bas 3 maheenay bad rukhsati rakh letay hain ye awaz sun k woh khayalon say bahr aayi bht bht mubarak ho sab ko...
3 maheenay bad dil main dhairon arman liey hoay saba is ghar mei dakhil hoi 4,5 din ka tou pata hi nahi chala shadi ko abhi ek hafta bhi nahi hoa jab saba ki nand osay bulanay aayi bhabhi aap ko ammi bula rhi hai jee ammi saba sar par dupata theek karti hoyi gayi yeh kia bahu tum nay koi zewar nahi pehna kiya tumharay ghar walon nay kuch nahi diya chota mota chalo abu k pass nahi tha behan hi de deti achi khasi ameer hai saba haka baka ho k apni sas ki shakal dekh rahi thi os k kano main awaz goonjnay lagi (hum to sab ghar walay deen par chalnay walay hain sunat kay mutabiq shadi karen gi) ...ll lekin ammi aap ko to pata tha hamaray halat aap nay hi kaha kuch nahi chahey ..aye behan kaha tha to is ka matlab hai k kuch bhi na lao han bhai lao na lao hamen kiya hum to Allah Allah karnay walay hain humain kch nahi chahey jo lati apnay liey lati na tumharay ghar walon nay pehnaowniya deen na sonay ki koi cheez di hamen utha k 6,7 suit pakra diey apnay damad ko humen kia hum koi lalchi hain
saba ki aankho mai woh suit case ghoom gaya jo ammi nay os ki susral walo ko diya tha kapro ka bhar k os k abu ki hak halal ki kamayi se khareeda hoa ek ek suit jo sas ki aankho main jach nahi raha tha jao bibi apna kam karo phir to jaisay yeh mamool ho gaya saba jab apnay mian ko kuch batati to sas aankho mai aansoo bhar k kehtin zaban kat jaye mri jo ksi ko kuch kaha chali jati hon yahan say mere pay ilzam laga rahi hai choti bahu mai to bas Allah Allah karti hon aur bari dono bhabiya khoob munh daba kr saba par hansti yahan tak k saal guzar gaye saba ko sab sehtay sehtay in hi dino main saba ki nand ka nikah b ho gaya lekin rukhsati se pehlay hi talaq ki nobat aa gayi waja jahez k mutalbat saba ki sas nay beto se kh diya lo abhi say farmaesh kar rahay hain agay ja kar kiya kuch na mangay gen bas talaq dilwa do mri beti nahi sunay gi baten sab nay bht samjhya lekin woh maan k na dee k un ki beti baten nahi sunay gi ksi ki aakhir usay talaq ho hi gayi sas sahiba nay khoob munh bhar bhar k apnay samdheeanay ko kosa or saba ko bhi lapet lia khali hath aa kr bhi ghar pr raj kr rahi hai (baki bhabhiya to jahez layi thi) aur meri masoom beti ko talaq ho gayi roz khoob ro ro kay kehten Allah main nay to kabhi ksi ka dil nahi dukhaya kabhi ksi ko tang nahi kia meri beti k sath aisa kion hoa dushmano ko jahnum main daal aur saba yeh sab sun kay sochti hai kiya wakayi un ko yaad nahi k uno nay mere dil pr kaisay zakham lagaye Allah Rasool ka naam aur sadgi aur sunat ki baat kr k mujhy jahez na lanay k tanay diey kiya hamary nazdeek Allah Rasool ka naam sirf kasmen khany k liey hai ya hum un k kahay k mutabiq chaltay bhi hain kiya aap k aatraf main bhi koi saba ki sas jesi hain agr hain to unhain zror ye sab baten kion k saba ki nand aaj bhi rishtay k intazar main bethi hai ek talaq yafta ki shadi mushkil say hoti hai doosray ki beti ko kuch kehtay hoay yeh bhi zror sochey k aap ki apni bhi beti hai Allah na karay os sath bhi kuch ho sakta hai kion k yeh jahez ki rasam hamari hi to hai aaen pehla qadam uthaen ksi ki zindagi bachen.
(yeh bilkul sachi kahani hai mjhy kahani likhni nahii aati plz nok palak sanwar deejiey ga shukria)