Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 19

Thread: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

  1. #1
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    candel Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Assalam-o-Alaikum

    Koi maney ya na maney laikin is haqiqet se inkar mumkin nahi k ye ek talkh sachai hey k hum min hasul qaum aisey hi hai'n k bajaye is k keh hum Allah k hazoor apni khataoo'n ki tobha krai'n hum us ki dalil daitey hai'n aur kehtey hai'n k uzr-e-gunha bedter as gunha hota hey



    Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm



    Aaj ka din kuch ajeeb sa hey, ya phir yoo’n kahai’n tu zyadha munasib hoga k mood kuch ajeeb sa hey,ek afsurdagi si tari hey,aisa nahi hey k main aaj yaha’n pehli bar aaya hoo’n main yaha’n kai bar aa chukka hoo’n kabhi kisi apney ko kandha daitey huwey tu kabhi kisi janey waley k liye kalma-e-shahadet perhtey huwey mager ye ek haqiqet hey k aaj sey pehley kabhi main ney ye nahi socha tha k khud mujhey bhi tu ek din yaha’n aana hey aisey hi logoo’n ney mairey jasd-e-khaki ko uthya huwa hoga phir mujhey qaber main utar diya jaye ga aur phir upper sey wazni slabs rakh diya jai’nge,main waha’n akaila reh jaoo’n ga aur phir…………..phir kia hoga? Phir wo hoga jis k barey main main janta tu hoo’n, jis ka main zuba’n sey iqrar bhi kerta hoo’n jis k barey main baat kertey huwey main fasahet aur balaghet k derya baha daita hoo’n mager………….mager dil sey iman nahi lata, main ney shayed aaj pehli bar puri imandari sey apni zat ka tajziya kia hey aur….. aur mujhey khud sey ghin aarahi hey main tu dunya ki ghilazet main lithra huwa ek ghaliz tareen insane hoo’n jo her ghalet kaam ki koi na koi dalil dhond laita hey na janey aaj tek main kisey dhoka daita aaya hoo’n aaj ye aehsas ho raha hey k main tu us aehmaq musafir ki terha hoo’n jis ka safer us k sir pe hey mager wo zad-e-rah ki taiyari ki bajaye taveel aaram kerney ki soch raha hey,aaj ye aehsas huwa k mairi haisiyet tu us andhey talib-e-ilm ki si hey jisey ye bhi bata diya jaye k paper main kia kia sawal pochey jai’n ge aur un k jawabat bhi bata diye jai’n mager wo un ki taiyari kerney ki bajaye kisi aur hi taiyari main mashghol rahey aur aaj khayal aaya hey tu shyed kafi waqt beet chukka hey main kia karoo’n?.............ye sawal mustaqil mairey dimagh main gardish ker raha hey waqt ka bhi pata nahi kon janey kab whistle ho aur gari rawana ho jaye kab mumtahin paper k ikhtitam ka elan kerdey maira dil dard se phata ja raha hey apni ghaflet aur gunahoo’n ka ahsas mairi reg reg main saraiyet ker raha hey mairi aankhoon sey aansoo behney lagey hain in main koi ria kari nahi shayed ye is umeed pe us Rab-e-kainat k hazoor beh rahey hain k shayed abhi mujh aasi k liye tuba ka derwaza band na huwa ho aur main is yaqee’n k sath us malik k hazoor sajdha raiz honey ki soch raha hoo’n k wo tu ek Maa k muqabley main apney bandey se 70 derjey zyadha muhabbet kerta hey mujhey kyoo’n maaf na kerey ga mager is wadey k sath k aaindh hamisha wohi kerney ki puri koshish karoo’n ga k jis ka hukm hey.
    Last edited by Lost Passenger; 26-02-2012 at 02:26 AM.


    ​sigpic3181 5 - Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

  2. #2
    Join Date
    Sep 2010
    Location
    Mystic falls
    Age
    36
    Posts
    52,044
    Mentioned
    326 Post(s)
    Tagged
    10829 Thread(s)
    Rep Power
    21474903

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Walaikumusalam

    waqai aik talakh sachayi hai
    Insaan ko khud b us insan ki jagah khud ko rakh k dekhna chahiye jiska duniyavi safar khatam hogaya hai
    lakin maine aksar dekha hai k kuch dino tak asar rehta hai phir wohi zindagi main ajata hai insaan

    acha likha hai ap ne
    keep writing

    eq2hdk - Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

  3. #3
    Join Date
    Apr 2010
    Location
    kahyyyyyyyy doooooooor
    Age
    43
    Posts
    2,200
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    304 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Very nice sharin
    wkigi1 - Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

  4. #4
    Join Date
    Sep 2011
    Location
    Jadoo Nagri
    Posts
    19,712
    Mentioned
    198 Post(s)
    Tagged
    8340 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    buhat khoob likha aap nay wakayi aisa hi haii aur is mai mein khud bhi shamil hon har baat ki daleel khud ko de kar dil ko to mutmaeen kar liya par kiya wakayi hum mutmaeen hain? lamha fikar aa chuka hai bas zrorat hai himmat aur mustaqil mizaji ki
    Allah SWT sab ko apni janab se aqal day aur seedhi rah par chalaey Ameen

  5. #5
    Join Date
    Jan 2012
    Location
    Kallar Syedan
    Age
    36
    Posts
    1,928
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Walaikumusalam good sharing

  6. #6
    Join Date
    Jun 2011
    Location
    China
    Posts
    4,834
    Mentioned
    29 Post(s)
    Tagged
    9237 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Allah humai naik amal krnay ki taufeeq ata farmaey (Ameen)
    Zindagi tu apnay he qadmun pe chalti hay Faraz
    Auron k Sahary tu Janazy utha kartay hain

  7. #7
    Join Date
    May 2010
    Location
    Karachi
    Age
    29
    Posts
    25,472
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6815 Thread(s)
    Rep Power
    21474876

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    khoob.
    tumblr na75iuW2tl1rkm3u0o1 500 - Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Hum kya hain

    Hmari Muhabatayn kya hain
    kya chahtay hain
    kya patay hain..

    -Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)


  8. #8
    Join Date
    Aug 2011
    Location
    SomeOne H3@rT
    Age
    38
    Posts
    2,345
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    825 Thread(s)
    Rep Power
    429514

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Walaikumusalam

    waqai aik talakh sachayi hai

    bht acha likha hai

  9. #9
    *jamshed*'s Avatar
    *jamshed* is offline کچھ یادیں ،کچھ باتیں
    Join Date
    Oct 2010
    Location
    every heart
    Posts
    14,585
    Mentioned
    138 Post(s)
    Tagged
    8346 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    bu - Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

  10. #10
    Join Date
    Nov 2009
    Posts
    232
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    651 Thread(s)
    Rep Power
    644261

    Default Re: Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

    Quote Originally Posted by Vampire View Post
    Walaikumusalam

    waqai aik talakh sachayi hai
    Insaan ko khud b us insan ki jagah khud ko rakh k dekhna chahiye jiska duniyavi safar khatam hogaya hai
    lakin maine aksar dekha hai k kuch dino tak asar rehta hai phir wohi zindagi main ajata hai insaan

    acha likha hai ap ne
    keep writing

    Hosla afzai k liye buhat shukria Vampire
    hamaisha khush aur salamet raho
    Ameen


    ​sigpic3181 5 - Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •