Walaikumusalam!
Jab Yaad ka Album Kholon to, Kuch log bohat yaad atay hain
Main apna bachpan sochon to, Kuch log bohat yaad atay hain
ab jaanay kis nagri mein ja kar soye paray hain muddat se
Main raat gaye tak jaagon to, Kuch log bohat yaad atay hain
Kuch Baatain thein phoolon jesi kuch khushbu jesey lehjay thay
Main sehan chaman mein ttehlon to, Kuch log bohat yaad atay hain
Jab Panchi laut kar atay hain aur sham ki laali parrhti hai
Main jheel kinaray baithon to, Kuch log bohat yaad atay hain
inn ulti seedhi reekhaaon ko pehron chuma kartay they
Main apni haatheeli dekhoon to, Kuch log bohat yaad atay hain
Woh Pal bhar ki naarazgiyaan aur maan bhi jana pal bhar main
ab Arshad khud se roothon to, Kuch log bohat yaad atay hain
Poet Arshad Malik
shairy majmooa "kuch Log bohat yad atay hain."