Har Morr Pe Mil Jaathey Hai Hamdard Hazaaro
Sayad Meri Basti Mein Adakaar Bohut Hai
Uss Ki Bina Bhi To Zindagi Katt Hi Jaaye Gi Ghalib
Hassratt E Zindagi Tha Woh Sharth E Zindagi Tho Nahin
Har Morr Pe Mil Jaathey Hai Hamdard Hazaaro
Sayad Meri Basti Mein Adakaar Bohut Hai
Agar Woh Pooch Lein Hum Se , Tumhain Kis Baat Ka Ghum Hai?
To Pir Kis Baat Ka Ghum Ho Agar Woh Pooch Lein Hum Se
Ab Mere Zikr Pe Mauzuu Hi Badal Deta Hai
Woh Jo Har Baat Pay Deta Tha Hawaale Mere
kya aik se zyada ashaar bhi share kar sakte hain.
Tmaam umer osi kay khyal main guzri Faraz
Mera khayl jisay umer bhar nahi aaya
Dil main hota tou kisi toor nikal bhi jata
Ab to wo shaks bht door talak hai mujh mai
Ajeeb khail hain mohabbton kay suno neednen nahi aatin
ksi kay khawab aankhon main agar bachpan say jam jaen
woh bewafa naa thaa yun hi badnaam hogaya
hazaron chahnay walay thay kis kis say wafa karta