Assalam-o-Alaikum
Kuch batai'n, aadatai'n ya mizaj kehlai'n kabhi nahi badeltey aur nihayet afsos k sath kehna perta hey keh shayed hamari qoum bhi aisi hi hey k kabhi ye hamaisha hi dhoka khati aai hey mager phir bhi nahi sambhalti apney mazi se kuch nahi seekhti hamai'n hamarey buzurgoo'n ney ye mulk kin qurbaniyoo'n se hasil kia hum bhool gaye 1971 k saqoot-e-dhaka mai'n kitney pyarey apney azizoo'n se bicher gaye hum bhool gaye hum kis k bandey hai'n aur kis ki ummet hai'n hum bhool gaye masajid se ubherti hui Allah ho Akber ki sada ka kia matlub hota hey hum bhool gaye aaj musalmanoo'n k gher gher se mandiroo'n ki ghantiyoo'n ki awazai'n aa rahi hai'n ye sahi hey ya ghalet hum bhool gaye.......Aakhir hum kab tek bholtey rahai'n ge, Allah hum sub k hal pe reham fermaye aur hamai'n hidayet ki doulat se nawazey,Ameen
Jaisa k mai'n ney pehley kaha mai'n sachi kahaniya'n talashta hoo'n tu aaj bhi kuch aisa hi huwa kuch aisey logoo'n se mulaqat hui jo 1971 mai'n apney azizoo'n se aisey bichrey k aaj tek un ki aankhai'n intizar ki rah hi daikh rahi hai'n aur jin k aansoo khushk ho chukey hai'n
Hum Kyoon Bhool Jatey Hain
Ek bar phir 16th December aai or khamoshi se guzer gai, kisi ko is baat ka ahsas nahi k is din hum ne kia khoya tha.mager main ne daikha hey kitni hi aankhain is din ko yad ker k ashk bar ho jati hainye tariekh-e-mader-e-watan ka wo siha din hey jis din hamara ye watan do-lakht hogaya,kitnoon k apne is ki khoon raizi ka shikar huwey, kitne hi jhurri zadha chehrey apni zindagi k aakhri aiyam is umeed pe kat rahey haink shayed kisi subha derwazey pe dastek ho or wo apne un pyaroon ko daikh sakin jo aaj tek plat k nahi aaye,or hum itne sada lohhain k hamain tu kuch yad hi nahi rehta,
†yad rakhne ka matlab din manana nahi hota balke ghaltiyoon se sabaq seekhna hota hey,mager afsoos se kehna prta hey k humsub min hasulquam buhat seedhey,masoom or kamzoor yaddasht Waley hain,hamain tu ye bhi yad nahi k 1st Mohhrem-ul-hram hazret Umer Farooq(R.T.A) ka yoom-e-shahadet hey k jin k barey main Allah k rasool(S.A.W.W) ne far maya (mafhoom) k mairey baad ager koi nabi hota tu wo umer hota,hamain tu aaj ye bhi yad nhi ye mulk-e-khudadad hamrey buzurgoon ne apne hi khoon se ghusl ker k hasil kia tha,hamain tu ye bhi yad nahi k is watan k hasool k liye kitni suhaganin bewa hogain,kitne bachoon ka bachpen yateemi ki nazer hogaya,kitni hi maain apney baitoon se mehroom hogain, kitni behnoon ne apne bhai is mulk ke hasool ki nazer ker diye,
kia kisi ne us baap or bhai ki rooh ki aziyet ko yad rakha jin k samne un ki bahoo baitiyoon ko dumanan-e-deen utha ley gaya kaisa dil trpa hoga jaisey kantoon bhree jhariyoon main kisi atkey kaprey ko khinch lia jaye,un ki chiekhain raat ko soney bhi na daiti hoongi, mager hamain kuch yad nahi hum khush hain hum sirf traqi krna chahtey hain,aagey brhna chahtey hain paisey k hasool ki ek dor hey jis ne hamin her her ahsas se aari ker dala hey bus aage jana hey or wo bhi mazi ko yad rakhey bina,hum bhool jateyhain k
“jo qoumain apni tariekh yad nahi rakhtin unka geoghrafiya mukhtaser ho jata hey
na janekyoon aaj maira dil trap utha hey kia aaj koi Iqbal nahi jiski “Bang-e-dra" ya Zerb-e-kaleem" hamain phir se jaga de hamarey ander wo national sprit paida kerdey jo 1947 main thi jo 1965 main thi,aaj koi Muhammed bin qasim nahi,koi salahuddin aiyubi nahi,kia hamri quam main aisey jialey na paid hogaye hain maira dimagh maira sath nahi de raha main buhat kuch likhna chahta hoon mager main apne ahsasat ko lafzoon main nahi dhal pa raha main bus itna kehna chahta hoon k aaj main be bus zaroor hoon mager na umeed nahi or is dua k sath is tehreer ka ikhtamam kerta hoon k Allah hamain or hamari quam ko tamam ikhtilafat ko bhula k mazi ki ghlatyoon se sabaq seikhne or ek hone ki toufiq ata fermaye.Ameen.