in Labon Per Ab koi Aah Hai Na Faryaad
In Labon Ne Ab Chup rehna Sekh Liya Hai.
"Yeh"
HI Guyz mein yahan per apni poetry say apnay likhay huway ash'aar ki bait bazi shuru kar raha hoon ,,
Umeed hy k sub ko pasand aye gi ,, or sub is mein apnay zati shair post karein gay jis word pay shair khtam hoga usky last lafz sy shuru karien gay shair ko,,,
Nahi hay koi bhi meri dua siwa is kay,,
Merey Rub Humna ka Daman hara bhara rakhna,,
next word is " Alif "
in Labon Per Ab koi Aah Hai Na Faryaad
In Labon Ne Ab Chup rehna Sekh Liya Hai.
"Yeh"
Yeh Jo Khushiyan He Khushiyan Hai Meray Gird
Yeh Bas Us K Payar Ki Nawazshain Hain.....
Noon
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
^^usay apni zid ki fikar thi^^
mujhay apni anna ka kahyal tha
na mil sakay hum phir kabhi
woh humrai mohabbto ka zawal tha
Last edited by anjana; 16-10-2008 at 12:32 AM. Reason: next word iz AALIF
insaniyat kay, wafa kay paikar hotay hein woh log
woh log jo zakham kha ker bhi dua detey hein
abhi abhi banaya hai, shair kam aur sentence ziada hai
nahi hoon ub talak mayoos mein ay jan-e-wafa
Dua mein aisi karun ga k hila doon ga Arsh
Next is "Sheen"
Sham hai udas or saans b hai ruki si
jo ho sakay Jana tu tum lout auo.....
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
Woh jo kehti thi k mein hooN sab se alag
ab us k honton pe bhi mera naam nahi raha
Umeed-e-Hoor ny Sab Kuch Sikha Rkha Hai Waeiz Ko
Ye Hazrat Dekhne Main Seedhe Saadhe Bhole Bhale Hain
​