Ek sira tou hai slamat doosra hai toota hoa
Aao pihr sey jor dain yeh silsala toota hoa
Os ko dekha ek nazr to dekhtay hi reh gye
Os k bad ab khud sey bhi hai rabta toota hoa
Tum hamary dil kay talib aur hum heran hain
Kiya karo gye ley k ab yeh aaeena toota hoa
Ek tmanna thi meri so woh shikasta ho chuki
Ek sapna tha mera jo reh gaya toota hoa
Main nay jis ko jornay mei omer apni kat di
Aaj woh pekar mujhay kehnay laga toota hoa
Main hoa darya mei ghota zan gohar k wastay
Aur laya bhi tou kiya kacha ghara toota hoa
Mudaton k bad bhi Tabish woh mila to ye khula
Hum tou bikhray hi thay lekin woh bhi tha toota hoa