Ek naya silsala shurou kar rahi hon
yahan aap nay os dish ki recipe lagani
hai jis ko aap k irdgird k log buhat pasand
kartay hain....
Cooking main interst rakhnay walay zaror
hisa lain is main.....
Ek naya silsala shurou kar rahi hon
yahan aap nay os dish ki recipe lagani
hai jis ko aap k irdgird k log buhat pasand
kartay hain....
Cooking main interst rakhnay walay zaror
hisa lain is main.....
Walaekumussalam!
BAND GOBHI AUR KALE MASOOR KI DAAL
INGREDIANTS:
Band gobhi(kadu kash): 2 piyali
Kale masoor ki daal(ubli hui): adhi piyali
Timatar(chop kiye hue): 2 adad
Hara dhaniya(chop kiya hua): 2 khane k chamchey
Hari mirchen(chop ki hui): 4 adad
Dahi(phenti hui): 2 khane k chamchey
Hari piyaz(chop ki hui): 2 dandiyan
Longen: 4 adad
Limon ka ras: 1 khane ka chamcha
Lehsan: 1 chai ka chamcha
Chicken cube: 1 adad
Murghi ki yakhni: 1 piyali
Namak: hasb-e-zaiqa
Oil: 2 khane k chamchey
METHOD:
Degchi main oil garam kar k longen kur kurayen aur phir is main timatar k elawa baqi tamam ingrediants shamil kar k pakne den.
Jab paani khushk hojaye to is main timatar dal kar thori dair pakayen aur phir utar kar garma garam pesh karen.
ye recipe maine cooking book se try ki thi or meri family ko pasand ayi thi umeed hai aap ko bhi pasand aye.
mere hath ki bani hue Kheer,,,Gajrela ..ras malai ...chicken karhai ...biryani pasand ki jati hia..baki jo b chez bana lon achi he banati hon gharor nahi hia sukur hia sahi bun jati hia ahoo
haye ba recipe b
mein cook nhi kerti itni
pasta kabhi kabhi acha ban jata hai
and aik raita type chatni banati hoon chawlon ke sath, woh kafi logon ko pasand ati hai
recipe next reple mein