لیکن ÛŒÛ Ú©Ù…Ù¾ÛŒÙ¹ÛŒØ´Ù† کب تک Ú†Ù„Û’ گا، پرسوں بدھ ÛÛ’
Assalam Alaikum....
kaisey hai sab Sd k wasion...?
es haftey mujhey topic bananey kaha gaya hai...
so plz mere liye sab ne sharing kerna hai..
Ham sab jantey hi hai ' Maa ' ka koi maseel nahi
Maa jaisi azeem hasti jo hamari jannat hai ..
tu aap kiya likhna pasand karey ge apni jannat k liye hunh...?
'' Maa ''
us azeem hasti k liye chnd lines zaroorshare kerni hai...
so plz es dafa umeed kerti hun aap sab se eak khoosurat threer ki......
.
naik tamnaon k saath wish u best ov luck...
لیکن ÛŒÛ Ú©Ù…Ù¾ÛŒÙ¹ÛŒØ´Ù† کب تک Ú†Ù„Û’ گا، پرسوں بدھ ÛÛ’
Mujh se Behtar Maa k Baray Main Kon Janta Ho Ga
Main 2 Month ka Tha jab Mother Mujhy Alvida Kar Allah
K Pass Chali Gy...Jeet haar Se Koi Lagayo Nai hai
Magar Ajj 1st Time Weekly Comp Main aa gaya
Maa(Mother)
Last edited by **Sagar**; 13-03-2012 at 01:34 PM.
جانےکیسا Ø±Ø´ØªÛ Ûےمیرا اسکیذاتکےساتھ
ÙˆÛذرا بھیخاموشÛوتوسانس Ù¹Ú¾Ûرسی جاتی ÛÛ’
Asalam o alekm
mai particpet nai karti weekly comp mai but as dafa itna umda topic hai k mai khud ko rook he na sakiii..as hasti ki shan mai likne bethoo to SAMANDR bhar siyahi khatam ho jae,,,Hazaron lakhon QALAm likh likh k giss jaeennn magar is HASSTII ki shan mai pher b kuch na kuch rah he jae ga....
MAAA ye wo hasti hia jiss ka mawazna PARWARDIGAR e ALAM ne khud apni zat se kia hia,,(((mai apne bande ko 70 MAOON jitna piyar karta hun)))wahhh meri MAA kia shan hia teri ...
Khuda ne dunya mai jiss ko b MAA ka rutba dia hia na us k sine mai dil aek he lagaya hia bohat sara piyar karne wala dil ab chahe wo ASHRAF_UL_ MAKHLOQAT ki MAA ho ya CHARiND PARIND ki..,,,.olad ko zindagi ki dhoop chaon se bachana wali HIMMAT,apni khuwahishat apni olad pe qurban karne wala Nafffs.. Olad ko Zamane ki dhoop chaoown se bacahane wala hosla or himat ye sab aek MAA k he WASSF hain...
meri MAMA dinya ki best MAMA hian ((han muje pata hia sab apni mama ko best samajte hian:)))meri mama ne bohat kathin halat mai hamari parwarish ki hia..bohat bohta taklifen uthain hia..hame alla takiim se less kia har hunar sikhaya hia,hamee apne peroon pe khara kia hia..,,,aj mai as mukam pe hun sirf or sirf meri maa ki waja se...aj log bohat izat se muje milte hian meri respect karte hian ye sab meri maa ki deen hia...
bass itna kahoon gii ALLAh tala sab Qull qainat ki oladon pe unki MAOOn ka Saya SALAMAT rakhe,,or un k SADQY mai meri MAAA KI UMAR Daraz kare AMEEENNNNN
I LOVE U MAMA jani
PLLZ ap sab se aek ameen ki tawaqoo hai..
AEK akhri bat..muje bilkul b likhna nai ata ..bass jo dil k jazbat the likh dale
Assalamoalikum....
BHt he shaandaar topic hai... yeh topic aisa topic hai k.. is ko insaan gnore kar he nahi sakta...
jb b is lafz ko parhti hn tu aansoo khud ba khud ankhon main ajatay hain
ziada nahi likh paon ge k kch samajh he nahi ata k kia kahon...
sirf itna kahun ge k Maa wo hasti hai k jis k sath rishta 100 % khalis hota hai...Maa k bagair ghar , ghar nahi lagta... Maa apni khawahishaat ko peechay chor k apni olaad ki khawahishien puri karti hai... or apni olaad ki pareshaniyan batae bagair jaan jati hai...
Mujay yaad hai k jb main uni jati thi tu mainay kabi late hojana tu ammi gate pay intizaar kar rahi hoti thin... or unhon nay itna aitmaad dia hai, unki tarbiyat itni achi hai k aaj main fakhar say keh sakti hn k main nay bht baar akailay b safar kai hai laikin... kabi b mairay paon bhatkay nahi k main kch ghalat karnay ak sochon... or yeh sb mairi Maa ki tarbiyat hai...
Maa say acha koi dost nahi... khaas tor pay baitiyun k liye...
maa jaisi azeem hasti kahin nahi milti... So plz apnay aprents ki qadar karein or un ki umeedon pay pura utrnay ki koshish karein...
aaj 1 year say ziada hogaya hai Maa jee ki death ko .. laikin aaj b unka soch k he aansoo ajatay hain... samajh nahi ata k kaisay khud ko yakeen dilaon k wo nahi hain...
ALLAH sb k parents ko Lambi Umar ata fermae.. Aameen..
Miss U Ammeee Jeee...
May A||AH Bless Her soul In Heaven.. Aaameen
(i know mairi tehreer main koi rabt nahi... laikin kia karun is topic pay kch samajh he nahi aai k kia kahon, bs emotional hogai....)
...I Know Its Immature And Childish......But I want A Fairytale ending...