Umdaaa
Jitni...
Suraj ko hiddat se
Jazbe ko shiddat se
Sagar ko rawani se
Abar ko pani se
Raat ko andhere se
Subha ko saweere se
Hawa ko shor se
Tufan ko zor se
Mahi ko samandar se
Saqi ko jaam se
Moti ko seep se
Parwane ko deep se
Mujhe Uski Talab Hai Yun
Jese...
kali ko khilne ki
Paon ko payal ki
Zakham ko ghail ki
Hijar ko wisaal ki
Zawal ko kamal ki
Sitaroon ko qamar ki
Patoon ko shajar ki
Dewar ko dar ki
Awara ko ghar ki
Wehshi ko janoon ki
Asma ko sakon ki
Bimar ko shafa ki
Zahid ko Sukun ki
Teer ko kaman ki
Pathar ko zuban ki
Ajnabi ko pehchan ki
Haar ko jeet ki
Man ko meet ki
Magar Main Be-Bus Hun Itna
Jitna...
Parinda jaal mein
Mazi haal mein
Khawab khayal mein
Urooj zawal mein
Jewan zaman mein
Insan jahan mein
Bas Mujhe Uss Se Itni MUHABBAT Hai... !
Umdaaa
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
wah bohat aala
wah