"hum Mohabbat karney waley bhi kitney masoom hotey hian..4 din apney mehbob ko apni nazron se ojhal rakh ker aur us sey koi baat ya rabta na karkey yeh samjhney lagtey hian k hum usey bhulaney main kamyab hojaye gai...jabkey haqiqat tu yeh hai ke sadioun ojhal rehney k bad bhi mehbob ki pehli jhalak hamain thek usi muqam per dhakeel deti hia jahan se hum ne tark-e-mulaqat ki ibteada ki hoti hia...sach hia ke Mohabbat se koi farar mumkin he nahi...shayad Mohabbat bhi mout ka dosra naam hai...Mohabbat Jan Lewa Hai."

Hashim Nadeem : Aik Mohabbat Aur Sahi