Assalam Alaikum
Aagahi
ye mairi kitab ki tehreeroo'n mai'n sey ek hey aur mai'n ney apni kitab ka title isi tehreer pe rakha hey,Ye khas tur pey un waldain k liye hey jo baitoo'n ko baitiyoo'n pe foqiyet daitey hain is umeed pe k "shayed k uter jaye terey dil mai'n mairi baat".
Kash hamarey muashrey mai'n koi aisa bhi ho jo sinf-e-Nazuk k sirf haqooq ki hi nahi bal k us muqam ki baat krey jis ki wo haqdar hey jo usey Allah aur Allah k Rasool (S.A.W.W) ney ata kia Aur is ziadhti ka zimey dar koi ek nahi ham sub hai'n warna hamarey itraf mai'n ye tu ho hi raha hey,
Baap bojh dhota tha kia jehaiz dey pata
Is liye wo shahzadi ab talek kunwari hey
Is tehreer ko sirf ek kahani ki hasiyet sey na perhye ga bal k ye sochye ga k is k liye hum kia ker saktey hai'n.
Aap ki aara ka intizar rahey ga
wassalam
Duaoo'n ka talabgar
Sohail.