Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main abhi us ko shanasa-e-muhabbat na karoon
Rooh ko us ki aseer-e-gham-e-ulfat na karoon
Us ko ruswa na karoon waqf-e-museebat na karoon
Sochta hoon ke abhi ranj se azad hai wo
Waqif-e-dard nahien, khoogar-e-aalam nahin
Sehr-e-aish mein us ki asar-e-sham nahin
Zindagi us keliye zehr bhara jam nahin
Sochta hoon ke muhabbat he jawani ki khizan
Us ne dekha nahien dunya mein baharon ke siwa
Nik'hat-o-noor se labraiz nazaron ke siwa
Sabza zaron ke siwa aur sitaron ke siwa
Sochta hoon ke gham-e-dil na sunaon us ko
Samne us ke kabhi raz ko uryan na karoon
Khalish-e-dil se usay dast-o-garayban na karoon
Us ke jazbat ko mein shola badaman na karoon
Sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko
Wo muhabbat ki bhala taab kahan laye gi
Khud to wo atish-e-jazbat mein jal jaye gi
Aur dunya ko is anjam se tarpaye gi
Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main usay waqif-e-ulfat na karoon