Chalo phir dhund len hum tum
Usi masoom bachpan ko
Unhi masoom khushio'n ko
unhi rangeen lamho'n ko
Jahan gham ka pta na tha
Jahan dukh ki smajh na thi
Jahan bus muskurahat thi
Baharain hi baharain thee'n
K jab sawan barasta tha
To uss kaghaz ki kashti ko
banana aur dabo dena
Bohat acha sa lagta tha
Aur is dunya ka her chehra
Bohat sacha sa lagta tha
Chalo phir dhoond len hum tum
Usi masoom bachpan ko
Unhi masoom khushio'n ko